Zahid Bhi Meri Tarah Usi Par Fida Na Ho, Urdu Ghazal By Raja Naushad Ali Khan

Zahid Bhi Meri Tarah Usi Par Fida Na Ho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Raja Naushad Ali Khan. Zahid Bhi Meri Tarah Usi Par Fida Na Ho comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zahid Bhi Meri Tarah Usi Par Fida Na Ho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زاہد بھی میری طرح اسی پر فدا نہ ہو

راجہ نوشاد علی خان

زاہد بھی میری طرح اسی پر فدا نہ ہو

کعبہ کے پردے میں بت کافر چھپا نہ ہو

تقدیر ہے خلاف تمہاری خطا نہیں

بگڑو ہمیں سے اور کسی سے خفا نہ ہو

آمین کہہ رہے ہیں بتان صنم کدہ

مقبول بارگاہ خدا کیوں دعا نہ ہو

بدلا اگر وفا کا جفا ہو جہان میں

او نا شناس قدر وفا پھر وفا نہ ہو

پائے صنم پہ سر ہے تمنا یہ دل میں ہے

میرے سوا قبول کسی کی دعا نہ ہو

الٹیں تو کس کے سامنے الٹیں نقاب رخ

جب کوئی ان کا دیکھنے والا رہا نہ ہو

قاتل یہ آرزو ترے بسمل کے دل میں ہے

خنجر ہلال بن کے گلے سے جدا نہ ہو

باقی رہے نہ حد کوئی تیرے غرور کی

او بے وفا جو حسن ترا بے وفا نہ ہو

سجدہ کریں ہم اس بت کافر کو دیر میں

کچھ بے خودیٔ عشق میں خوف خدا نہ ہو

اپنا خرام ناز عبث دیکھتے ہو تم

دیکھو مرا نشان لحد مٹ گیا نہ ہو

زاہد حرم سے لائے تجھے کون کھینچ کر

گر بت کدہ میں جلوۂ شان خدا نہ ہو

مرنے کے بعد ان کی حیا ہم سے کم ہوئی

وہ کہہ رہے ہیں روٹھنے والے خفا نہ ہو

رنجیدہ ہو کے در سے جو اٹھتا ہوں کہتے ہیں

دنیا میں زندگی سے کوئی یوں خفا نہ ہو

آتے ہو تم جو روز عیادت کے واسطے

مقصود اس سے یہ ہے کہ مجھ کو شفا نہ ہو

ساقیٔ پاک دل ہمیں آتا نہیں مزہ

جب تک شریک دور کوئی پارسا نہ ہو

وہ حکم دے چکے ہیں کہ اب ان کی بزم میں

دنیا کی گفتگو ہو مرا تذکرہ نہ ہو

قدموں پہ سر جھکائے بڑی دیر ہو گئی

باہیں گلے میں ڈال بھی دو اب خفا نہ ہو

ساقی پلا خدا کے لئے آج رات بھر

اس کی تو کچھ خبر نہیں کل کیا ہو کیا نہ ہو

نوشادؔ وہ جو ناز سے آئیں تو دیکھنا

جس کا قضا ہے نام وہ ان کی ادا نہ ہو

راجہ نوشاد علی خان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zahid Bhi Meri Tarah Usi Par Fida Na Ho

Raja Naushad Ali Khan

zahid bhi meri tarah usi par fida na ho
kabe ke parde mein but-e-kafir chhupa na ho

taqdir hai KHilaf tumhaari KHata nahin
bigDo hamin se aur kisi se KHafa na ho

aamin kah rahe hain butan-e-sanam-kada
maqbul bargah-e-KHuda kyon dua na ho

badla agar wafa ka jafa ho jahan mein
o na-shanas qadr-e-wafa phir wafa na ho

pa-e-sanam pe sar hai tamanna ye dil mein hai
mere siwa qubul kisi ki dua na ho

ulTen to kis ke samne ulTen naqab-e-ruKH
jab koi un ka dekhne wala raha na ho

qatil ye aarzu tere bismil ke dil mein hai
KHanjar hilal ban ke gale se juda na ho

baqi rahe na had koi tere ghurur ki
o bewafa jo husn tera bewafa na ho

sajda karen hum us but-e-kafir ko dair mein
kuchh be-KHudi-e-ishq mein KHauf-e-KHuda na ho

apna KHiram-e-naz abas dekhte ho tum
dekho mera nishan-e-lahad miT gaya na ho

zahid haram se lae tujhe kaun khinch kar
gar but-kade mein jalwa-e-shan-e-KHuda na ho

marne ke baad un ki haya hum se kam hui
wo kah rahe hain ruThne wale KHafa na ho

ranjida ho ke dar se jo uThta hun kahte hain
duniya mein zindagi se koi yun KHafa na ho

aate ho tum jo roz ayaadat ke waste
maqsud is se ye hai ki mujh ko shifa na ho

saqi-e-pak-dil hamein aata nahin maza
jab tak sharik-e-daur koi parsa na ho

wo hukm de chuke hain ki ab un ki bazm mein
duniya ki guftugu ho mera tazkira na ho

qadmon pe sar jhukae baDi der ho gai
bahen gale mein Dal bhi do ab KHafa na ho

saqi pila KHuda ke liye aaj raat bhar
is ki to kuchh KHabar nahin kal kya ho kya na ho

'naushad' wo jo naz se aaen to dekhna
jis ka qaza hai nam wo un ki ada na ho

(353) ووٹ وصول ہوئے

You can read Zahid Bhi Meri Tarah Usi Par Fida Na Ho written by Raja Naushad Ali Khan at UrduPoint. Zahid Bhi Meri Tarah Usi Par Fida Na Ho is one of the masterpieces written by Raja Naushad Ali Khan. You can also find the complete poetry collection of Raja Naushad Ali Khan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Raja Naushad Ali Khan' above.

Zahid Bhi Meri Tarah Usi Par Fida Na Ho is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zahid Bhi Meri Tarah Usi Par Fida Na Ho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.