KHud Ko Jis Ke Liye Bhulati Hun, Urdu Ghazal By Rakhshan Hashmi

KHud Ko Jis Ke Liye Bhulati Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rakhshan Hashmi. KHud Ko Jis Ke Liye Bhulati Hun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHud Ko Jis Ke Liye Bhulati Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خود کو جس کے لیے بھلاتی ہوں

رخشاں ہاشمی

خود کو جس کے لیے بھلاتی ہوں

کیا اسے بھی میں یاد آتی ہوں

اس کا چہرہ کتاب جیسا ہے

روز پڑھتی ہوں مسکراتی ہوں

ویسے آنکھیں اداس رہتی ہیں

دیکھ کر اس کو جگمگاتی ہوں

جانتی ہوں ہوا مٹا دے گی

میں گھروندے مگر بناتی ہوں

گھر کی دیوار ہے سکھی میری

میں اسی سے گپیں لڑاتی ہوں

آپ اخبار دیکھیے تب تک

میں ابھی چائے لے کر آتی ہوں

سامنے اپنے آئنہ رکھ کر

روز اپنی ہنسی اڑاتی ہوں

وہ مرا اعتبار ہے رخشاںؔ

جس سے اکثر فریب کھاتی ہوں

رخشاں ہاشمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHud Ko Jis Ke Liye Bhulati Hun

Rakhshan Hashmi

KHud ko jis ke liye bhulati hun
kya use bhi main yaad aati hun

us ka chehra kitab jaisa hai
roz paDhti hun muskuraati hun

waise aankhen udas rahti hain
dekh kar us ko jagmagati hun

jaanti hun hawa miTa degi
main gharaunde magar banati hun

ghar ki diwar hai sakhi meri
main usi se gapen laDati hun

aap aKHbar dekhiye tab tak
main abhi chae le kar aati hun

samne apne aaina rakh kar
roz apni hansi uDati hun

wo mera e'tibar hai 'raKHshan'
jis se aksar fareb khati hun

(425) ووٹ وصول ہوئے

You can read KHud Ko Jis Ke Liye Bhulati Hun written by Rakhshan Hashmi at UrduPoint. KHud Ko Jis Ke Liye Bhulati Hun is one of the masterpieces written by Rakhshan Hashmi. You can also find the complete poetry collection of Rakhshan Hashmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rakhshan Hashmi' above.

KHud Ko Jis Ke Liye Bhulati Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHud Ko Jis Ke Liye Bhulati Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.