Diye Jala Ke Hawaon Ke Munh Pe Mar Aaya, Urdu Ghazal By Rakhshan Hashmi

Diye Jala Ke Hawaon Ke Munh Pe Mar Aaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rakhshan Hashmi. Diye Jala Ke Hawaon Ke Munh Pe Mar Aaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Diye Jala Ke Hawaon Ke Munh Pe Mar Aaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دئے جلا کے ہواؤں کے منہ پہ مار آیا

رخشاں ہاشمی

دئے جلا کے ہواؤں کے منہ پہ مار آیا

کوئی تو ہے جو اندھیروں کا قرض اتار آیا

خدا سے جب بھی کڑی دھوپ کی شکایت کی

تو میری راہ میں ایک پیڑ سایہ دار آیا

کہاں ہوئی کبھی اس سے ہماری دید و شنید

ہوا کے رتھ پہ ہمیشہ ہی وہ سوار آیا

سکون بانٹتی پھرتی ہوں میں زمانے میں

نہ جانے کیوں مرے حصے میں انتشار آیا

ہزار بار مرا درد مسکرائے گا

ہزار بار اگر موسم بہار آیا

سبب میں ڈھونڈ رہی تھی مری اداسی کا

ترا خیال مجھے آج بار بار آیا

کیا ہے اس نے ہی غارت مرا سکون مگر

اسی کے نام پہ رخشاںؔ مجھے قرار آیا

رخشاں ہاشمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Diye Jala Ke Hawaon Ke Munh Pe Mar Aaya

Rakhshan Hashmi

diye jala ke hawaon ke munh pe mar aaya
koi to hai jo andheron ka qarz utar aaya

KHuda se jab bhi kaDi dhup ki shikayat ki
to meri rah mein ek peD saya-dar aaya

kahan hui kabhi us se hamari did-o-shunid
hawa ke rath pe hamesha hi wo sawar aaya

sukun banTti phirti hun main zamane mein
na jaane kyun mere hisse mein intishaar aaya

hazar bar mera dard muskuraega
hazar bar agar mausam-e-bahaar aaya

sabab main DhunD rahi thi meri udasi ka
tera KHayal mujhe aaj bar bar aaya

kiya hai us ne hi ghaarat mera sukun magar
usi ke nam pe 'raKHshan' mujhe qarar aaya

(456) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Diye Jala Ke Hawaon Ke Munh Pe Mar Aaya written by Rakhshan Hashmi at UrduPoint. Diye Jala Ke Hawaon Ke Munh Pe Mar Aaya is one of the masterpieces written by Rakhshan Hashmi. You can also find the complete poetry collection of Rakhshan Hashmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rakhshan Hashmi' above.

Diye Jala Ke Hawaon Ke Munh Pe Mar Aaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Diye Jala Ke Hawaon Ke Munh Pe Mar Aaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.