Sab Ki Aankhen To Khuli Hain Dekhta Koi Nahin, Urdu Ghazal By Rana Gannauri

Sab Ki Aankhen To Khuli Hain Dekhta Koi Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rana Gannauri. Sab Ki Aankhen To Khuli Hain Dekhta Koi Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sab Ki Aankhen To Khuli Hain Dekhta Koi Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سب کی آنکھیں تو کھلی ہیں دیکھتا کوئی نہیں

رانا گنوری

سب کی آنکھیں تو کھلی ہیں دیکھتا کوئی نہیں

سانس سب کی چل رہی ہے جی رہا کوئی نہیں

میں سسکنے کی صدائیں سن رہا ہوں بار بار

آپ کہتے ہیں کہ گھر میں دوسرا کوئی نہیں

زندگانی نے لیے گو امتحاں در امتحاں

زندگانی سے مجھے پھر بھی گلہ کوئی نہیں

کوئی تو آخر چلاتا ہے نظام دو جہاں

کیسے ممکن ہے خدائی ہے خدا کوئی نہیں

میری ساری کوششوں کے کاوشوں کے باوجود

میرے سارے کام بگڑے ہیں بنا کوئی نہیں

رانا گنوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sab Ki Aankhen To Khuli Hain Dekhta Koi Nahin

Rana Gannauri

sab ki aankhen to khuli hain dekhta koi nahin
sans sab ki chal rahi hai ji raha koi nahin

main sisakne ki sadaen sun raha hun bar bar
aap kahte hain ki ghar mein dusra koi nahin

zindagani ne liye go imtihan-dar-imtihan
zindagani se mujhe phir bhi gila koi nahin

koi to aaKHir chalata hai nizam-e-do-jahan
kaise mumkin hai KHudai hai KHuda koi nahin

meri sari koshishon ke kawishon ke bawajud
mere sare kaam bigDe hain bana koi nahin

(475) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sab Ki Aankhen To Khuli Hain Dekhta Koi Nahin written by Rana Gannauri at UrduPoint. Sab Ki Aankhen To Khuli Hain Dekhta Koi Nahin is one of the masterpieces written by Rana Gannauri. You can also find the complete poetry collection of Rana Gannauri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rana Gannauri' above.

Sab Ki Aankhen To Khuli Hain Dekhta Koi Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sab Ki Aankhen To Khuli Hain Dekhta Koi Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.