Kya ShoKH-o-shang Shai Nigah-e-sharmgin Bhi Hai, Urdu Ghazal By Rasheed Kausar Farooqi

Kya ShoKH-o-shang Shai Nigah-e-sharmgin Bhi Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rasheed Kausar Farooqi. Kya ShoKH-o-shang Shai Nigah-e-sharmgin Bhi Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kya ShoKH-o-shang Shai Nigah-e-sharmgin Bhi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کیا شوخ و شنگ شے نگہ شرمگیں بھی ہے

رشید کوثر فاروقی

کیا شوخ و شنگ شے نگہ شرمگیں بھی ہے

چلمن سے جھانکتی بھی ہے چلمن نشیں بھی ہے

غنچے شگوفے چھوڑنے والے ہیں عنقریب

اس عہد خورد بیں میں کوئی دوربیں بھی ہے

اپنے مزاج ہی کے تعاقب میں ہوں ہنوز

فرش سفال بھی فلک چار میں بھی ہے

ہم آپ پر نہ آپ کریں ہم پہ اعتماد

دامن کے ساتھ ساتھ یہاں آستیں بھی ہے

تکیہ کرم پہ کیسے کروں میں کہ ناز حسن

نکتہ نواز ہے تو سہی نکتہ چیں بھی ہے

کرتے ہو اپنے شہر کو کیا کیا ملامتیں

جس کی کمی ہے جا کے تو دیکھوں کہیں بھی ہے

دیتا ہے آدمی کو سہارا قدم قدم

اک طائف‌ الخیال جو ہے بھی نہیں بھی ہے

روپوشیٔ سجود میں بھی نیت نمود

ٹپکا کلنک کا مرا داغ جبیں بھی ہے

نقل وطن بھی کر کے کہاں جائیے گا آپ

بندوں کی زد پہ اب تو خدا کی زمیں بھی ہے

اپنے کو کتنے سانپ سے ڈسوا رہے ہیں ہم

مسحور ہیں کہ وقت کی ناگن حسیں بھی ہے

کیا آپ جھٹپٹے کو بھی پہچانتے نہیں

دستی ہے جو صباح وہ کیا راستیں بھی ہے

جینا ادھر محال ہے مرنا ادھر محال

زہراب بھی وہی ہے وہی انگبیں بھی ہے

ہم طائران عرش کو پیچھے سے مت پکار

ماضی کی یادگار تو دیوار چیں بھی ہے

شاید جناب نوح بھی ہوں گے گلہ گزار

افسانہ ناتمام دم واپسیں بھی ہے

رشید کوثر فاروقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kya ShoKH-o-shang Shai Nigah-e-sharmgin Bhi Hai

Rasheed Kausar Farooqi

kya shoKH-o-shang shai nigah-e-sharmgin bhi hai
chilman se jhankti bhi hai chilman-nashin bhi hai

ghunche shagufe chhoDne wale hain anqarib
is ahd-e-KHurd-bin mein koi durbin bhi hai

apne mizaj hi ke taaqub mein hun hanuz
farsh-e-sifal bhi falak-e-chaar mein bhi hai

hum aap par na aap karen hum pe e'timad
daman ke sath sath yahan aastin bhi hai

takiya karam pe kaise karun main ki naz-e-husn
nukta-nawaz hai to sahi nukta-chin bhi hai

karte ho apne shahr ko kya kya malamaten
jis ki kami hai ja ke to dekhun kahin bhi hai

deta hai aadmi ko sahaara qadam qadam
ek taif-ul-KHayal jo hai bhi nahin bhi hai

ruposhi-e-sujud mein bhi niyyat-e-numud
Tapka kalank ka mera dagh-e-jabin bhi hai

naql-e-watan bhi kar ke kahan jaiyega aap
bandon ki zad pe ab to KHuda ki zamin bhi hai

apne ko kitne sanp se Daswa rahe hain hum
mashur hain ki waqt ki nagin hasin bhi hai

kya aap jhuTpuTe ko bhi pahchante nahin
dasti hai jo sabah wo kya rastin bhi hai

jina idhar muhaal hai marna udhar muhaal
zahrab bhi wahi hai wahi angbin bhi hai

hum tairan-e-arsh ko pichhe se mat pukar
mazi ki yaadgar to diwar-e-chin bhi hai

shayad janab-e-nuh bhi honge gila-guzar
afsana na-tamam dam-e-wapsin bhi hai

(404) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kya ShoKH-o-shang Shai Nigah-e-sharmgin Bhi Hai written by Rasheed Kausar Farooqi at UrduPoint. Kya ShoKH-o-shang Shai Nigah-e-sharmgin Bhi Hai is one of the masterpieces written by Rasheed Kausar Farooqi. You can also find the complete poetry collection of Rasheed Kausar Farooqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rasheed Kausar Farooqi' above.

Kya ShoKH-o-shang Shai Nigah-e-sharmgin Bhi Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kya ShoKH-o-shang Shai Nigah-e-sharmgin Bhi Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.