Mere Ghar Ke Log Jo Ghar Mujhi Ko Supurd Kar Ke Chale Gae, Urdu Ghazal By Rasheed Rampuri

Mere Ghar Ke Log Jo Ghar Mujhi Ko Supurd Kar Ke Chale Gae is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rasheed Rampuri. Mere Ghar Ke Log Jo Ghar Mujhi Ko Supurd Kar Ke Chale Gae comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mere Ghar Ke Log Jo Ghar Mujhi Ko Supurd Kar Ke Chale Gae on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مرے گھر کے لوگ جو گھر مجھی کو سپرد کر کے چلے گئے

رشید رامپوری

مرے گھر کے لوگ جو گھر مجھی کو سپرد کر کے چلے گئے

مرا بار غم نہ اٹھا سکے تو مجھی پہ دھر کے چلے گئے

کبھی گھر ہمارے وہ آ گئے تو لکھا نصیب کا دیکھیے

کوئی بات ان سے نہ ہو سکی وہ ذرا ٹھہر کے چلے گئے

جہاں لطف سیر نہ پا سکے نہ جہاں کا حال بتا سکے

جہاں زندگی میں نہ جا سکے وہاں لوگ مر کے چلے گئے

کوئی بات ان سے کرے گا کیا وہ جواب لے کے پھرے گا کیا

انہیں دیکھ کر جو حواس ہی مرے نامہ بر کے چلے گئے

ہے سرائے دہر عجب مکاں جو مسافر آ کے رہے یہاں

کبھی تین دن کبھی چار دن وہ ٹھہر ٹھہر کے چلے گئے

نہیں آج رنگ وہ خلق کا کبھی یہ زمانے کا حال تھا

ہمیں سر پہ اپنے بٹھا لیا جو کسی بشر کے چلے گئے

ہے عدم کا سخت وہ مرحلہ جہاں اپنا اپنا ہے راستہ

وہ سفر نہیں یہ جو ساتھ ہم کسی ہم سفر کے چلے گئے

ترے پاسباں سے ترا پتہ کبھی ہم نے پوچھا تو یہ ملا

کہ مکاں سے وہ سر شام ہی کہیں بن سنور کے چلے گئے

انہیں بزم غیر میں دیکھ کر کہیں کیا رشیدؔ کہ کیا ہوا

کبھی ضبط کر کے ٹھہر گئے کبھی آہ بھر کے چلے گئے

رشید رامپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mere Ghar Ke Log Jo Ghar Mujhi Ko Supurd Kar Ke Chale Gae

Rasheed Rampuri

mere ghar ke log jo ghar mujhi ko supurd kar ke chale gae
mera bar-e-gham na uTha sake to mujhi pe dhar ke chale gae

kabhi ghar hamare wo aa gae to likha nasib ka dekhiye
koi baat un se na ho saki wo zara Thahar ke chale gae

jahan lutf-e-sair na pa sake na jahan ka haal bata sake
jahan zindagi mein na ja sake wahan log mar ke chale gae

koi baat un se karega kya wo jawab le ke phirega kya
unhen dekh kar jo hawas hi mere nama-bar ke chale gae

hai sara-e-dahar ajab makan jo musafir aa ke rahe yahan
kabhi tin din kabhi chaar din wo Thahar Thahar ke chale gae

nahin aaj rang wo KHalq ka kabhi ye zamane ka haal tha
hamein sar pe apne biTha liya jo kisi bashar ke chale gae

hai adam ka saKHt wo marhala jahan apna apna hai rasta
wo safar nahin ye jo sath hum kisi ham-safar ke chale gae

tere pasban se tera pata kabhi hum ne puchha to ye mila
ki makan se wo sar-e-sham hi kahin ban-sanwar ke chale gae

unhen bazm-e-ghair mein dekh kar kahen kya 'rashid' ki kya hua
kabhi zabt kar ke Thahar gae kabhi aah bhar ke chale gae

(354) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mere Ghar Ke Log Jo Ghar Mujhi Ko Supurd Kar Ke Chale Gae written by Rasheed Rampuri at UrduPoint. Mere Ghar Ke Log Jo Ghar Mujhi Ko Supurd Kar Ke Chale Gae is one of the masterpieces written by Rasheed Rampuri. You can also find the complete poetry collection of Rasheed Rampuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rasheed Rampuri' above.

Mere Ghar Ke Log Jo Ghar Mujhi Ko Supurd Kar Ke Chale Gae is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mere Ghar Ke Log Jo Ghar Mujhi Ko Supurd Kar Ke Chale Gae, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.