Shama Mein Soz Ki Wo KHu Hai Na Parwane Mein, Urdu Ghazal By Rashid Shahjahanpuri

Shama Mein Soz Ki Wo KHu Hai Na Parwane Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rashid Shahjahanpuri. Shama Mein Soz Ki Wo KHu Hai Na Parwane Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shama Mein Soz Ki Wo KHu Hai Na Parwane Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شمع میں سوز کی وہ خو ہے نہ پروانے میں

رشید شاہجہانپوری

شمع میں سوز کی وہ خو ہے نہ پروانے میں

جو ہے اے برق شمائل ترے دیوانے میں

لطف تھا ذکر دل سوختہ دہرانے میں

سوز ہے ساز کہاں طور کے افسانے میں

تھا جو اس چشم فسوں ساز کے پیمانے میں

کیف وہ ڈھونڈئیے اب کون ہے میخانے میں

واسطہ دست نگاریں کا تجھے اے قاتل

ایک سرخی کی کمی ہے مرے افسانے میں

جو کبھی تھا وہی ہے آج بھی افسانۂ عشق

ایک دو لفظ بدل جاتے ہیں دہرانے میں

موت بھی منحصر ان کی نگہ ناز پہ تھی

اب نہیں کوئی کمی عشق کے افسانے میں

وہی شے جو ابھی مینا میں تھی اک موج نشاط

وہی طوفان طرب بن گئی پیمانے میں

قول واعظ کا بجا شیخ کی تلقین درست

دل کافر کہیں آئے بھی تو سمجھانے میں

قید ہستی کو سمجھتا ہے جنوں کی توہین

اب تو کچھ ہوش کے انداز ہیں دیوانے میں

شکر بن جاتے ہیں آتے ہی زباں تک شکوے

جانے کیا بات ہے اس آنکھ کے شرمانے میں

کس طرح حضرت واعظ کو یہ سمجھاؤں رشیدؔ

رند کیا دیکھ لیا کرتے ہیں پیمانے میں

رشید شاہجہانپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shama Mein Soz Ki Wo KHu Hai Na Parwane Mein

Rashid Shahjahanpuri

shama mein soz ki wo KHu hai na parwane mein
jo hai ai barq-shamail tere diwane mein

lutf tha zikr-e-dil-soKHta dohrane mein
soz hai saz kahan tur ke afsane mein

tha jo us chashm-e-fusun-saz ke paimane mein
kaif wo DhunDiye ab kaun hai maiKHane mein

wasta dast-e-nigarin ka tujhe ai qatil
ek surKHi ki kami hai mere afsane mein

jo kabhi tha wahi hai aaj bhi afsana-e-ishq
ek do lafz badal jate hain dohrane mein

maut bhi munhasir in ki nigah-e-naz pe thi
ab nahin koi kami ishq ke afsane mein

wahi shai jo abhi mina mein thi ek mauj-e-nashat
wahi tufan-e-tarab ban gai paimane mein

qaul waiz ka baja shaiKH ki talqin durust
dil-e-kafir kahin aae bhi to samjhane mein

qaid-e-hasti ko samajhta hai junun ki tauhin
ab to kuchh hosh ke andaz hain diwane mein

shukr ban jate hain aate hi zaban tak shikwe
jaane kya baat hai us aankh ke sharmane mein

kis tarah hazrat-e-waiz ko ye samjhaun 'rashid'
rind kya dekh liya karte hain paimane mein

(492) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shama Mein Soz Ki Wo KHu Hai Na Parwane Mein written by Rashid Shahjahanpuri at UrduPoint. Shama Mein Soz Ki Wo KHu Hai Na Parwane Mein is one of the masterpieces written by Rashid Shahjahanpuri. You can also find the complete poetry collection of Rashid Shahjahanpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rashid Shahjahanpuri' above.

Shama Mein Soz Ki Wo KHu Hai Na Parwane Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shama Mein Soz Ki Wo KHu Hai Na Parwane Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.