KHizan Ke Be-kaif Manzaron Ka Ba-rang-e-KHushbu Jawab Rakhna, Urdu Ghazal By Rauf Sadiq

KHizan Ke Be-kaif Manzaron Ka Ba-rang-e-KHushbu Jawab Rakhna is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rauf Sadiq. KHizan Ke Be-kaif Manzaron Ka Ba-rang-e-KHushbu Jawab Rakhna comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHizan Ke Be-kaif Manzaron Ka Ba-rang-e-KHushbu Jawab Rakhna on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خزاں کے بے کیف منظروں کا برنگ خوشبو جواب رکھنا

رؤف صادق

خزاں کے بے کیف منظروں کا برنگ خوشبو جواب رکھنا

کسی کی یاد کا اپنے دل میں کوئی مہکتا گلاب رکھنا

تم اپنے کردار اور عمل کو بنا کے آئینہ تلفظ

حسین لفظوں کی صورتوں میں شناختوں کی کتاب رکھنا

اداس چہرہ ہے شام غم کا دھواں دھواں شب اتر رہی ہے

ابھی سے کوئی سحر کا منظر نظر میں اپنی جناب رکھنا

بھلا نہ دے یہ زمانہ تم کو قدیم قبل مسیح کہہ کر

کہ زندگی کی کہانیوں میں کوئی حقیقت کا باب رکھنا

عناد و نفرت کا زہر کوئی بصارتوں میں کبھی نہ گھولے

ہمیشہ آنکھوں کے میکدے میں محبتوں کی شراب رکھنا

بچی کھچی نیکیوں کو تم بھی اٹھا کے دریا میں ڈال دینا

کسی بھی صالح عمل کا اپنے کبھی نہ کوئی حساب رکھنا

سحر کی دھندلی سی روشنی میں تمام دن کی بصیرتیں ہوں

شعور بیدار کرنے والے ہماری آنکھوں میں خواب رکھنا

رؤف صادق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHizan Ke Be-kaif Manzaron Ka Ba-rang-e-KHushbu Jawab Rakhna

Rauf Sadiq

KHizan ke be-kaif manzaron ka ba-rang-e-KHushbu jawab rakhna
kisi ki yaad ka apne dil mein koi mahakta gulab rakhna

tum apne kirdar aur amal ko bana ke aaina-e-talaffuz
hasin lafzon ki suraton mein shanaKHton ki kitab rakhna

udas chehra hai sham-e-gham ka dhuan dhuan shab utar rahi hai
abhi se koi sahar ka manzar nazar mein apni janab rakhna

bhula na de ye zamana tum ko qadim qabl-e-masih kah kar
ki zindagi ki kahaniyon mein koi haqiqat ka bab rakhna

inad-o-nfrat ka zahr koi basaraton mein kabhi na ghole
hamesha aankhon ke mai-kade mein mohabbaton ki sharab rakhna

bachi-khuchi nekiyon ko tum bhi uTha ke dariya mein Dal dena
kisi bhi saleh amal ka apne kabhi na koi hisab rakhna

sahar ki dhundli si raushni mein tamam din ki basiraten hun
shuur bedar karne wale hamari aankhon mein KHwab rakhna

(400) ووٹ وصول ہوئے

You can read KHizan Ke Be-kaif Manzaron Ka Ba-rang-e-KHushbu Jawab Rakhna written by Rauf Sadiq at UrduPoint. KHizan Ke Be-kaif Manzaron Ka Ba-rang-e-KHushbu Jawab Rakhna is one of the masterpieces written by Rauf Sadiq. You can also find the complete poetry collection of Rauf Sadiq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rauf Sadiq' above.

KHizan Ke Be-kaif Manzaron Ka Ba-rang-e-KHushbu Jawab Rakhna is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHizan Ke Be-kaif Manzaron Ka Ba-rang-e-KHushbu Jawab Rakhna, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.