Kya Dekhte Hain Aap Jhijak Kar Sharab Mein, Urdu Ghazal By Raunaq Tonkvi

Kya Dekhte Hain Aap Jhijak Kar Sharab Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Raunaq Tonkvi. Kya Dekhte Hain Aap Jhijak Kar Sharab Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kya Dekhte Hain Aap Jhijak Kar Sharab Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کیا دیکھتے ہیں آپ جھجک کر شراب میں

رونق ٹونکوی

کیا دیکھتے ہیں آپ جھجک کر شراب میں

پیدا ہے عکس زلف معنبر شراب میں

پرتو فگن ہے چشم فسوں گر شراب میں

کیا مل گیا ہے فتنۂ محشر شراب میں

بد مستیوں کے شوق نے طوفاں اٹھائے ہیں

بیٹھے ہیں ہم بہائے ہوئے گھر شراب میں

تر دامنوں کو آتش دوزخ سے ہے نجات

جامہ ہے شور بور سراسر شراب میں

بے یار موج مے ہے رگ جاں میں نیشتر

یہ جانستانیاں ہیں مقرر شراب میں

کچھ قتل میں بھی چاشنیٔ مے ضرور ہے

قاتل بجھا کے لائیو خنجر شراب میں

شیریں کلامیاں ہیں وہاں وقت مے کشی

گویا ملا ہے قند مکرر شراب میں

کہتا ہے رنگ رخ سے ترے جوہر شراب

کھلتے ہیں حسن شوخ کے جوہر شراب میں

محروم بزم مے سے نہ پھر جائے محتسب

دے دو کوئی کباب ڈبو کر شراب میں

رونقؔ نے ان کے ہاتھ سے بزم رقیب میں

اک خون دل پیا ہے ملا کر شراب میں

رونق ٹونکوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kya Dekhte Hain Aap Jhijak Kar Sharab Mein

Raunaq Tonkvi

kya dekhte hain aap jhijak kar sharab mein
paida hai aks-e-zulf-e-mo'ambar sharab mein

partaw-fagan hai chashm-e-fusun-gar sharab mein
kya mil gaya hai fitna-e-mahshar sharab mein

bad-mastiyon ke shauq ne tufan uThae hain
baiThe hain hum bahae hue ghar sharab mein

tar-damanon ko aatish-e-dozaKH se hai najat
jama hai shor-bor sarasar sharab mein

be-yar mauj-e-mai hai rag-e-jaan mein neshtar
ye jaan-sataniyan hain muqarrar sharab mein

kuchh qatl mein bhi chashni-e-mai zarur hai
qatil bujha ke laiyo KHanjar sharab mein

shirin-kalamiyan hain wahan waqt-e-mai-kashi
goya mila hai qand-e-mukarrar sharab mein

kahta hai rang-e-ruKH se tere jauhar-e-sharab
khilte hain husn-e-shoKH ke jauhar sharab mein

mahrum bazm-e-mai se na phir jae mohtasib
de do koi kabab Dubo kar sharab mein

'raunaq' ne un ke hath se bazm-e-raqib mein
ek KHun-e-dil piya hai mila kar sharab mein

(276) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kya Dekhte Hain Aap Jhijak Kar Sharab Mein written by Raunaq Tonkvi at UrduPoint. Kya Dekhte Hain Aap Jhijak Kar Sharab Mein is one of the masterpieces written by Raunaq Tonkvi. You can also find the complete poetry collection of Raunaq Tonkvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Raunaq Tonkvi' above.

Kya Dekhte Hain Aap Jhijak Kar Sharab Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kya Dekhte Hain Aap Jhijak Kar Sharab Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.