ChaDhi Tere Bimar-e-furqat Ko Tab Hai, Urdu Ghazal By Rind Lakhnavi

ChaDhi Tere Bimar-e-furqat Ko Tab Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rind Lakhnavi. ChaDhi Tere Bimar-e-furqat Ko Tab Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read ChaDhi Tere Bimar-e-furqat Ko Tab Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چڑھی تیرے بیمار فرقت کو تب ہے

رند لکھنوی

چڑھی تیرے بیمار فرقت کو تب ہے

بشدت قلق ہے نہایت تعب ہے

مریض محبت ترا جاں بلب ہے

تجاہل ستم ہے تغافل غضب ہے

وہ آفت ہے آفت ہے آفت ہے آفت

غضب ہے غضب ہے غضب ہے غضب ہے

گلی یار کی ہے قدم رکھوں کیوں کر

چلوں سر کے بل یاں مقام ادب ہے

جو ابرو دکھایا تو عارض بھی دکھلا

وہ قرآن ہے یہ ہلال رجب ہے

ہوئی صبح پیری کٹی اب جوانی

یہ جلنا فقط شمع ساں شب کی شب ہے

وہ زلف سیہ ہے کہ مشک ختن ہے

نہیں خط سواد دیار حلب ہے

کھلا کچھ نہ مجھ پر نہ آنے کا منشا

جہت کچھ تو فرمائیے کیا سبب ہے

جو شجرہ تھا مجنوں کا شجرہ ہے میرا

جو تھا قیس کا سلسلہ وہ نسب ہے

غنیمت سمجھ وقت فرصت کو غافل

نہ ہاتھ آئے گا پھر یہ موقع جو اب ہے

خدا کی خدائی کا جلوہ ہے او بت

یہ حسن جوانی نہیں شان رب ہے

کروں کیوں نہ سامان عشرت مہیا

شب وصل دلبر عروسی کی شب ہے

جسے لوگ کہتے ہیں شاہ خراساں

وہ بے شبہ ابن امیر عرب ہے

غلام اس کا ہوں جو ہے کوثر کا ساقی

جبھی رندؔ مے خوار میرا لقب ہے

رند لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

ChaDhi Tere Bimar-e-furqat Ko Tab Hai

Rind Lakhnavi

chaDhi tere bimar-e-furqat ko tab hai
bashiddat qalaq hai nihayat tab hai

mariz-e-mohabbat tera jaan-ba-lab hai
tajahul sitam hai taghaful ghazab hai

wo aafat hai aafat hai aafat hai aafat
ghazab hai ghazab hai ghazab hai ghazab hai

gali yar ki hai qadam rakhkhun kyun-kar
chalun sar ke bal yan maqam-e-adab hai

jo abru dikhaya to aariz bhi dikhla
wo quran hai ye hilal-e-rajab hai

hui subh-e-piri kaTi ab jawani
ye jalna faqat shama-san shab ki shab hai

wo zulf-e-siyah hai ki mushk-e-KHutan hai
nahin KHat sawad-e-dayar-e-halab hai

khula kuchh na mujh par na aane ka mansha
jihat kuchh to farmaiye kya sabab hai

jo shajara tha majnun ka shajara hai mera
jo tha qais ka silsila wo nasab hai

ghanimat samajh waqt-e-fursat ko ghafil
na hath aaega phir ye mauqa jo ab hai

KHuda ki KHudai ka jalwa hai o but
ye husn-e-jawani nahin shan-e-rab hai

karun kyun na saman-e-ishrat muhayya
shab-e-wasl-e-dilbar urusi ki shab hai

jise log kahte hain shah-e-KHurasan
wo be-shubah ibn-e-amir-e-arab hai

ghulam us ka hun jo hai kausar ka saqi
jabhi 'rind' mai-KHwar mera laqab hai

(410) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read ChaDhi Tere Bimar-e-furqat Ko Tab Hai written by Rind Lakhnavi at UrduPoint. ChaDhi Tere Bimar-e-furqat Ko Tab Hai is one of the masterpieces written by Rind Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Rind Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rind Lakhnavi' above.

ChaDhi Tere Bimar-e-furqat Ko Tab Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like ChaDhi Tere Bimar-e-furqat Ko Tab Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.