KHayal-o-fikr Jahan Zawiye Badalte Hain, Urdu Ghazal By Riyasat Ali Taj

KHayal-o-fikr Jahan Zawiye Badalte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyasat Ali Taj. KHayal-o-fikr Jahan Zawiye Badalte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHayal-o-fikr Jahan Zawiye Badalte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خیال و فکر جہاں زاویے بدلتے ہیں

ریاست علی تاج

خیال و فکر جہاں زاویے بدلتے ہیں

وہیں سے نت نئے اسلوب چل نکلتے ہیں

وہ رات کو پئے گل گشت جب نکلتے ہیں

فلک پہ چاند ستاروں کے دل مچلتے ہیں

مرے کلام میں مفروضہ‌‌ و قیاس نہیں

یہ تجربات ہیں جو شعر بن کے ڈھلتے ہیں

رخ حیات کو ہر زاویے سے دیکھا ہے

مشاہدات کے قالب میں شعر ڈھلتے ہیں

قدم قدم پہ حیا سوزیوں کا عالم ہے

سنور سنور کے نگاران شہر چلتے ہیں

تمہارے غم سے عبارت ہے زندگی میری

تمہارے یاد کے دل میں چراغ چلتے ہیں

ہیں کامران وہی لوگ آج دنیا میں

جو وقت اور زمانے کے ساتھ چلتے ہیں

گداز قلب بھی ہوتا ہے کچھ انہیں کو نصیب

جو درد مند ہیں ان کے ہی دل پگھلتے ہیں

رہ حیات میں ایسا بھی ہے مقام کوئی

جہاں جنون و خرد ساتھ ساتھ چلتے ہیں

جدا ہے رنگ سخن تاجؔ ہر سخن ور کا

بے اعتبار نظر فکر و فن بدلتے ہیں

ریاست علی تاج

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHayal-o-fikr Jahan Zawiye Badalte Hain

Riyasat Ali Taj

KHayal-o-fikr jahan zawiye badalte hain
wahin se nit-nae uslub chal nikalte hain

wo raat ko pae gul-gasht jab nikalte hain
falak pe chand-sitaron ke dil machalte hain

mere kalam mein mafrooza-o-qayas nahin
ye tajrabaat hain jo sher ban ke Dhalte hain

ruKH-e-hayat ko har zawiye se dekha hai
mushahidat ke qalib mein sher Dhalte hain

qadam qadam pe Haya-soziyon ka aalam hai
sanwar sanwar ke nigaran-e-shahar chalte hain

tumhaare gham se ibarat hai zindagi meri
tumhaare yaad ke dil mein charagh chalte hain

hain kaamran wahi log aaj duniya mein
jo waqt aur zamane ke sath chalte hain

gudaz-e-qalb bhi hota hai kuchh unhin ko nasib
jo dard-mand hain un ke hi dil pighalte hain

rah-e-hayat mein aisa bhi hai maqam koi
jahan jujun-o-KHirad sath sath chalte hain

juda hai rang-e-suKHan 'taj' har suKHan-war ka
ba-etebar-e-nazar, fikr-o-fan badalte hain

(402) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHayal-o-fikr Jahan Zawiye Badalte Hain written by Riyasat Ali Taj at UrduPoint. KHayal-o-fikr Jahan Zawiye Badalte Hain is one of the masterpieces written by Riyasat Ali Taj. You can also find the complete poetry collection of Riyasat Ali Taj by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyasat Ali Taj' above.

KHayal-o-fikr Jahan Zawiye Badalte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHayal-o-fikr Jahan Zawiye Badalte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.