Din Guzarta Hai Talash-e-yar Mein, Urdu Ghazal By Riyaz Hasan Khan Khayal

Din Guzarta Hai Talash-e-yar Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyaz Hasan Khan Khayal. Din Guzarta Hai Talash-e-yar Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Din Guzarta Hai Talash-e-yar Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دن گزرتا ہے تلاش یار میں

ریاض حسن خاں خیال

دن گزرتا ہے تلاش یار میں

کٹتی ہے شب حسرت دیدار میں

جنس دل ہے پاس تو گاہک بہت

کوئی آ ہی جائے گا بازار میں

کس کے نقش پا کے یا رب ہے نشاں

گل کھلے ہیں کوچہ اغیار میں

ہائے جذب عشق کی نیرنگیاں

حضرت یوسف بکے بازار میں

دیکھنے کو حال کب آئے ہیں آپ

حال جب باقی نہیں بازار میں

اب شباب آیا تو فرق آنے لگا

آپ کی گفتار میں رفتار میں

شہر میں ہوں کیا کمی معشوق کی

خوبرو ہیں سینکڑوں بازار میں

شوق سے بسمل رگڑتے ہیں گلا

کیا مزہ ہے آپ کی تلوار میں

ڈھونڈ ہے کس نے لکھا یہ حال دل

ایک کتبہ ہے نیا دیوار میں

ہائے رے حالت امید و بیم کی

میری کشتی آج ہے منجدھار میں

ملنے کو ملتے ہیں لاکھوں آدمی

آدمیت ملتی ہے دو چار میں

دل فروشوں کی دو رویہ بھیڑ ہے

سیر کو نکلے ہیں وہ بازار میں

مان لو میری خدا کو مان کر

رات آخر ہو گئی تکرار میں

برگ گل سمجھی ترے منہ کا اگال

اس کو بلبل لے اڑی منقار میں

کب بجھی اس سے مرے دل کی لگی

آب ہے تو ہو تری تلوار میں

دل کو بہلایا خیال یار سے

مشغلہ یہ تھا فراق یار میں

وہ بھی بد خو یہ بھی ہے نازک مزاج

ہو نہ کچھ جھگڑا دل و دل دار میں

لاکھ صحت اس پہ قرباں کیجیے

وہ مزہ ہے عشق کے بازار میں

خیر درباں تو وہاں جانے نہ دے

پڑ رہیں گے سایۂ دیوار میں

حسن اس پردہ نشیں کا ہے کچھ اور

یوں تو ہیں لاکھوں حسیں بازار میں

ہائے کب مقتل میں لائے ہیں مجھے

دم ہی جب باقی نہیں تلوار میں

پی بہت اب خوف بے کیفی کا ہے

ساقیا تھوڑی سی دے مقدار میں

اب وہ سمجھے گرمی خون شہید

جبکہ چھالے پڑ گئے تلوار میں

کب کسی کی بات سنتے ہیں خیالؔ

وہ تو بے خود ہیں خیال یار میں

ریاض حسن خاں خیال

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Din Guzarta Hai Talash-e-yar Mein

Riyaz Hasan Khan Khayal

din guzarta hai talash-e-yar mein
kaTti hai shab hasrat-e-didar mein

jins-e-dil hai pas to gahak bahut
koi aa hi jaega bazar mein

kis ke naqsh-e-pa ke ya-rab hai nishan
gul khile hain kuchha-e-aghyar mein

hae jazb-e-ishq ki nairangiyan
hazrat-e-yusuf bike bazar mein

dekhne ko haal kab aae hain aap
haal jab baqi nahin bazar mein

ab shabab aaya to farq aane laga
aap ki guftar mein raftar mein

shahr mein hun kya kami mashuq ki
KHub-ru hain sainkaDon bazar mein

shauq se bismil ragaDte hain gala
kya maza hai aap ki talwar mein

DhunD hai kis ne likha ye haal-e-dil
ek katba hai naya diwar mein

hae re haalat umid-o-bim ki
meri kashti aaj hai manjdhaar mein

milne ko milte hain lakhon aadmi
aadamiyyat milti hai do-chaar mein

dil-faroshon ki do-ruya bhiD hai
sair ko nikle hain wo bazar mein

man lo meri KHuda ko man kar
raat aaKHir ho gai takrar mein

barg-e-gul samjhi tere munh ka ugal
us ko bulbul le uDi minqar mein

kab bujhi is se mere dil ki lagi
aab hai to ho teri talwar mein

dil ko bahlaya KHayal-e-yar se
mashghala ye tha firaq-e-yar mein

wo bhi bad-KHu ye bhi hai nazuk-mizaj
ho na kuchh jhagDa dil-o-dildar mein

lakh sehat us pe qurban kijiye
wo maza hai ishq ke bazar mein

KHair darban to wahan jaane na de
paD rahenge saya-e-diwar mein

husn us parda-nashin ka hai kuchh aur
yun to hain lakhon hasin bazar mein

hae kab maqtal mein lae hain mujhe
dam hi jab baqi nahin talwar mein

pi bahut ab KHauf be-kaifi ka hai
saqiya thoDi si de miqdar mein

ab wo samjhe garmi-e-KHun-e-shahid
jabki chhaale paD gae talwar mein

kab kisi ki baat sunte hain 'KHayal'
wo to be-KHud hain KHayal-e-yar mein

(365) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Din Guzarta Hai Talash-e-yar Mein written by Riyaz Hasan Khan Khayal at UrduPoint. Din Guzarta Hai Talash-e-yar Mein is one of the masterpieces written by Riyaz Hasan Khan Khayal. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Hasan Khan Khayal by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Hasan Khan Khayal' above.

Din Guzarta Hai Talash-e-yar Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Din Guzarta Hai Talash-e-yar Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.