Pur-nur Hai Jahan Mohabbat Ke Dagh Se, Urdu Ghazal By Riyaz Hasan Khan Khayal

Pur-nur Hai Jahan Mohabbat Ke Dagh Se is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyaz Hasan Khan Khayal. Pur-nur Hai Jahan Mohabbat Ke Dagh Se comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Pur-nur Hai Jahan Mohabbat Ke Dagh Se on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پر نور ہے جہان محبت کے داغ سے

ریاض حسن خاں خیال

پر نور ہے جہان محبت کے داغ سے

روشن ہے دیر و کعبہ اسی اک چراغ سے

بلبل کے نالے اور بھی وحشت بڑھائیں گے

تفریح خاک ہوگی مجھے سیر باغ سے

کافی ہے سر خوشی کو مری یاد چشم مست

مینا سے کچھ غرض ہے نہ مطلب ایاغ سے

اللہ منعموں کو بھی کیا ہی غرور ہے

لیتے ہیں یہ سلام بھی تو کس دماغ سے

دنیا میں جس نے جتنے کئے کم تعلقات

اتنی ہی اس نے اپنی بسر کی فراغ سے

دل دے نہ کوئی کوہ کن اور قیس کی طرح

آتی ہے روز و شب یہ صدا کوہ و راغ سے

بے بحث اگر تلاش سے ہوتا حصول کام

پا لیتا آب خضر سکندر سراغ سے

ہم رکھ دیں اس کے آگے کلیجا نکال کر

سن لیں خبر جو یار کے آنے کی زاغ سے

فرقت میں رنج و غم ہے فراغت کہاں خیالؔ

کوسوں ہے دور یہ دل محزوں فراغ سے

ریاض حسن خاں خیال

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Pur-nur Hai Jahan Mohabbat Ke Dagh Se

Riyaz Hasan Khan Khayal

pur-nur hai jahan mohabbat ke dagh se
raushan hai dair-o-kaba usi ek charagh se

bulbul ke nale aur bhi wahshat baDhaenge
tafrih KHak hogi mujhe sair-e-bagh se

kafi hai sarKHushi ko meri yaad-e-chashm-e-mast
mina se kuchh gharaz hai na matlab ayagh se

allah munimon ko bhi kya hi ghurur hai
lete hain ye salam bhi to kis dimagh se

duniya mein jis ne jitne kiye kam talluqat
utni hi us ne apni basar ki faragh se

dil de na koi kohkan aur qais ki tarah
aati hai roz-o-shab ye sada koh-o-ragh se

be bahs agar talash se hota husul-e-kaam
pa leta aab-e-KHizr sikandar suragh se

hum rakh den us ke aage kaleja nikal kar
sun len KHabar jo yar ke aane ki zagh se

furqat mein ranj-o-gham hai faraghat kahan 'KHayal'
koson hai dur ye dil-e-mahzun faragh se

(398) ووٹ وصول ہوئے

You can read Pur-nur Hai Jahan Mohabbat Ke Dagh Se written by Riyaz Hasan Khan Khayal at UrduPoint. Pur-nur Hai Jahan Mohabbat Ke Dagh Se is one of the masterpieces written by Riyaz Hasan Khan Khayal. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Hasan Khan Khayal by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Hasan Khan Khayal' above.

Pur-nur Hai Jahan Mohabbat Ke Dagh Se is a widely read Urdu Ghazal. If you like Pur-nur Hai Jahan Mohabbat Ke Dagh Se, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.