Ham-nashin Zid Na Kar Ahwal Batane Ke Liye, Urdu Ghazal By Riyaz Hasan Khan Khayal

Ham-nashin Zid Na Kar Ahwal Batane Ke Liye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyaz Hasan Khan Khayal. Ham-nashin Zid Na Kar Ahwal Batane Ke Liye comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ham-nashin Zid Na Kar Ahwal Batane Ke Liye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہم نشیں ضد نہ کر احوال بتانے کے لئے

ریاض حسن خاں خیال

ہم نشیں ضد نہ کر احوال بتانے کے لئے

غم چھپانے کے لئے ہے کہ سنانے کے لئے

دل ملا سینہ ملا جسم ملا جان ملی

داغ کھانے کے لئے رنج اٹھانے کے لئے

دور ہی سے وہ مجھے دیکھ کر ان کا کہنا

پھر یہ حضرت چلے آتے ہیں ستانے کے لئے

امتحاں عشق و ہوس کا ہے کل اس محفل میں

رقعے اب بٹتے ہیں جاں بازوں کے آنے کے لئے

چاہئے تھا ترے عشاق کو دل دو ملتے

اک تجھے دینے کو اک ناز اٹھانے کے لئے

عہد فرہاد ہوا ہم سے تو پہلے ورنہ

جاتے کمبخت کا ہم ہاتھ بٹانے کے لئے

یہی بہتر ہے کہ چپکا رہوں جھگڑا چک جائے

ورنہ باتیں ہیں بہت بات بڑھانے کے لئے

ہوش سے کیوں نہ ہو پیاری مجھے یہ بے ہوشی

آئے تو لخلخلۂ زلف سنگھانے کے لئے

کر دیا عشق نے ہر شخص سے بد ظن مجھ کو

اب کسے بھیجوں وہاں ان کو بلانے کے لئے

اے دل اس کو بھی ہے در پردہ محبت تیری

ستم و جور ہیں غیروں کو دکھانے کے لئے

ہم سے عاشق کی محبت نہیں دیکھی جاتی

اس نے یہ عذر نکالا ہے نہ آنے کے لئے

چھوڑ کر وعظ کرو بادہ فروشی واعظ

پیشہ بہتیرے ہیں دنیا میں کمانے کے لئے

فائدہ اور تو کچھ چرخ ستم گر سے نہیں

یہ حسینوں کو ہے بیداد سکھانے کے لئے

گھر سے کس بے خودیٔ شوق میں نکلا ہے خیالؔ

اپنے روٹھے ہوئے دلبر کو منانے کے لئے

ریاض حسن خاں خیال

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ham-nashin Zid Na Kar Ahwal Batane Ke Liye

Riyaz Hasan Khan Khayal

ham-nashin zid na kar ahwal batane ke liye
gham chhupane ke liye hai ki sunane ke liye

dil mila sina mila jism mila jaan mili
dagh khane ke liye ranj uThane ke liye

dur hi se wo mujhe dekh kar un ka kahna
phir ye hazrat chale aate hain satane ke liye

imtihan ishq-o-hawas ka hai kal us mahfil mein
ruqe ab baTte hain jaan-bazon ke aane ke liye

chahiye tha tere ushshaq ko dil do milte
ek tujhe dene ko ek naz uThane ke liye

ahd-e-farhad hua hum se to pahle warna
jate kambaKHt ka hum hath baTane ke liye

yahi behtar hai ki chupka rahun jhagDa chuk jae
warna baaten hain bahut baat baDhane ke liye

hosh se kyon na ho pyari mujhe ye be-hoshi
aae to laKHlaKHa-e-zulf sunghane ke liye

kar diya ishq ne har shaKHs se bad-zan mujh ko
ab kise bhejun wahan un ko bulane ke liye

ai dil us ko bhi hai dar-parda mohabbat teri
sitam-o-jaur hain ghairon ko dikhane ke liye

hum se aashiq ki mohabbat nahin dekhi jati
us ne ye uzr nikala hai na aane ke liye

chhoD kar waz karo baada-faroshi waiz
peshe bahutere hain duniya mein kamane ke liye

faeda aur to kuchh charKH-e-sitamgar se nahin
ye hasinon ko hai bedad sikhane ke liye

ghar se kis be-KHudi-e-shauq mein nikla hai 'KHayal'
apne ruThe hue dilbar ko manane ke liye

(447) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ham-nashin Zid Na Kar Ahwal Batane Ke Liye written by Riyaz Hasan Khan Khayal at UrduPoint. Ham-nashin Zid Na Kar Ahwal Batane Ke Liye is one of the masterpieces written by Riyaz Hasan Khan Khayal. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Hasan Khan Khayal by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Hasan Khan Khayal' above.

Ham-nashin Zid Na Kar Ahwal Batane Ke Liye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ham-nashin Zid Na Kar Ahwal Batane Ke Liye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.