Dam Bhar Bhi Jo Ho Jae Mulaqat Bahut Hai, Urdu Ghazal By Riyaz Hasan Khan Khayal

Dam Bhar Bhi Jo Ho Jae Mulaqat Bahut Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyaz Hasan Khan Khayal. Dam Bhar Bhi Jo Ho Jae Mulaqat Bahut Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dam Bhar Bhi Jo Ho Jae Mulaqat Bahut Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دم بھر بھی جو ہو جائے ملاقات بہت ہے

ریاض حسن خاں خیال

دم بھر بھی جو ہو جائے ملاقات بہت ہے

دو باتیں بھی وہ کر لیں تو یہ بات بہت ہے

لطف آج کل آتا ہے سوا بادہ کشی کا

مطبوع مجھے اس لئے برسات بہت ہے

دن بھر تو جدائی میں تڑپتے ہوئے گزرا

جاتے ہو کہاں ٹھہرو ابھی رات بہت ہے

کیوں بو الہوسوں میں وہ مجھے گنتے ہیں یا رب

عشق اور ہوس میں تو منافات بہت ہے

دو گھونٹ بھی ہے غم کے غلط کرنے کو کافی

تھوڑی سی بھی ساقی کی مدارات بہت ہے

اے دل انہیں ڈر ہے کہیں بدنام نہ ہو جائیں

یہ چوری چھپے کی بھی ملاقات بہت ہے

ناصح تری بک بک سے تو سر پھر گیا اپنا

مہمل یہ بہت ہے یہ خرابات بہت ہے

روشن ہوئے چودہ طبق اک جام سے تیرے

احسان تیرا پیر خرابات بہت ہے

دل لے کے مرا جی وہ بڑھاتے ہیں یہ کہہ کر

ہو دل سے تو تھوڑی سی بھی سوغات بہت ہے

مجھ مست کو کیا سلطنت جم کی تمنا

خدمت تری اے پیر خرابات بہت ہے

رہتا ہے خیالؔ آپ کا ہر وقت ثنا خواں

ایمان کی ہے بات خوش اوقات بہت ہے

ریاض حسن خاں خیال

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dam Bhar Bhi Jo Ho Jae Mulaqat Bahut Hai

Riyaz Hasan Khan Khayal

dam bhar bhi jo ho jae mulaqat bahut hai
do baaten bhi wo kar len to ye baat bahut hai

lutf aaj-kal aata hai siwa baada-kashi ka
matbu mujhe is liye barsat bahut hai

din bhar to judai mein taDapte hue guzra
jate ho kahan Thahro abhi raat bahut hai

kyon bul-hawason mein wo mujhe ginte hain ya-rab
ishq aur hawas mein to munafat bahut hai

do ghunT bhi hai gham ke ghalat karne ko kafi
thoDi si bhi saqi ki mudaraat bahut hai

ai dil unhen Dar hai kahin badnam na ho jaen
ye chori chhupe ki bhi mulaqat bahut hai

naseh teri bak-bak se to sar phir gaya apna
mohmal ye bahut hai ye KHarabaat bahut hai

raushan hue chaudah tabaq ek jam se tere
ehsan tera pir-e-KHarabaat bahut hai

dil le ke mera ji wo baDhate hain ye kah kar
ho dil se to thoDi si bhi saughat bahut hai

mujh mast ko kya saltanat-e-jam ki tamanna
KHidmat teri ai pir-e-KHarabaat bahut hai

rahta hai 'KHayal' aap ka har-waqt sana-KHwan
iman ki hai baat KHush-auqat bahut hai

(340) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dam Bhar Bhi Jo Ho Jae Mulaqat Bahut Hai written by Riyaz Hasan Khan Khayal at UrduPoint. Dam Bhar Bhi Jo Ho Jae Mulaqat Bahut Hai is one of the masterpieces written by Riyaz Hasan Khan Khayal. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Hasan Khan Khayal by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Hasan Khan Khayal' above.

Dam Bhar Bhi Jo Ho Jae Mulaqat Bahut Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dam Bhar Bhi Jo Ho Jae Mulaqat Bahut Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.