Walwala Dil Ka BaDha Zulf-e-dota Ko Dekh Kar, Urdu Ghazal By Riyaz Hasan Khan Khayal

Walwala Dil Ka BaDha Zulf-e-dota Ko Dekh Kar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyaz Hasan Khan Khayal. Walwala Dil Ka BaDha Zulf-e-dota Ko Dekh Kar comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Walwala Dil Ka BaDha Zulf-e-dota Ko Dekh Kar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ولولہ دل کا بڑھا زلف دوتا کو دیکھ کر

ریاض حسن خاں خیال

ولولہ دل کا بڑھا زلف دوتا کو دیکھ کر

مست مے کش ہو گیا کالی گھٹا کو دیکھ کر

شاد ہے یوں دل نگاہ دل ربا کو دیکھ کر

آشنا جس طرح خوش ہو آشنا کو دیکھ کر

اللہ اللہ یہ تڑپ اس طرح کی وارفتگی

دل ربا خود لوٹ ہے دل کی ادا کو دیکھ کر

کہتے ہیں وہ حشر کے دن کون ہوگا داد خواہ

یاد رہ سکتا ہے کب بندہ خدا کو دیکھ کر

تم کہاں سے آ رہے ہو ایسے گھبرائے ہوئے

کیا کہیں گے دشمن اس چاک قبا کو دیکھ کر

پھر چلا آتا ہے ناصح مغز کھانے کے لئے

کانپ جاتا ہے مرا دل اس بلا کو دیکھ کر

اس گلی کا جوش وحشت میں پتہ ملتا نہ تھا

کھل گئیں آنکھیں سی تیرے نقش پا کو دیکھ کر

پڑ گئی تھی تیرے دل میں جو گرہ وہ کھل پڑی

وا ہوا یہ عقدہ وا بند قبا کو دیکھ کر

کوچۂ اغیار میں یہ بے خودی کیسی خیالؔ

اڑ گئے اوسان کس کے نقش پا کو دیکھ کر

ریاض حسن خاں خیال

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Walwala Dil Ka BaDha Zulf-e-dota Ko Dekh Kar

Riyaz Hasan Khan Khayal

walwala dil ka baDha zulf-e-dota ko dekh kar
mast mai-kash ho gaya kali ghaTa ko dekh kar

shad hai yun dil nigah-e-dil-ruba ko dekh kar
aashna jis tarah KHush ho aashna ko dekh kar

allah allah ye taDap is tarah ki waraftagi
dilruba KHud loT hai dil ki ada ko dekh kar

kahte hain wo hashr ke din kaun hoga dad-KHwah
yaad rah sakta hai kab banda KHuda ko dekh kar

tum kahan se aa rahe ho aise ghabrae hue
kya kahenge dushman is chaak-e-qaba ko dekh kar

phir chala aata hai naseh maghz khane ke liye
kanp jata hai mera dil is bala ko dekh kar

us gali ka josh-e-wahshat mein pata milta na tha
khul gain aankhen si tere naqsh-e-pa ko dekh kar

paD gai thi tere dil mein jo girah wo khul paDi
wa hua ye uqda wa band-e-qaba ko dekh kar

kucha-e-aghyar mein ye be-KHudi kaisi 'KHayal'
uD gae ausan kis ke naqsh-e-pa ko dekh kar

(288) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Walwala Dil Ka BaDha Zulf-e-dota Ko Dekh Kar written by Riyaz Hasan Khan Khayal at UrduPoint. Walwala Dil Ka BaDha Zulf-e-dota Ko Dekh Kar is one of the masterpieces written by Riyaz Hasan Khan Khayal. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Hasan Khan Khayal by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Hasan Khan Khayal' above.

Walwala Dil Ka BaDha Zulf-e-dota Ko Dekh Kar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Walwala Dil Ka BaDha Zulf-e-dota Ko Dekh Kar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.