Sath Sae Ki Tarah Wahshat Mein Uryani Hui, Urdu Ghazal By Riyaz Khairabadi

Sath Sae Ki Tarah Wahshat Mein Uryani Hui is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyaz Khairabadi. Sath Sae Ki Tarah Wahshat Mein Uryani Hui comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sath Sae Ki Tarah Wahshat Mein Uryani Hui on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ساتھ سائے کی طرح وحشت میں عریانی ہوئی

ریاضؔ خیرآبادی

ساتھ سائے کی طرح وحشت میں عریانی ہوئی

مجھ سے دیوانے کے پیچھے یہ بھی دیوانی ہوئی

صدقے ان کی زلف کے میری پریشانی ہوئی

میں تو دیوانہ تھا یہ بھی آج دیوانی ہوئی

ان کے آنچل میں ادا بن کر قیامت چھپ چکی

وہ مری جانی ہوئی وہ میری پہچانی ہوئی

کس کے جلوے نے نگاہ شوق پر ڈالا اثر

طور کے دامن میں اچھی برق جولانی ہوئی

اب جو کھل کھیلیں یہ جوبن کوئی اس کو کیا کرے

پردے پردے میں بہت ان کی نگہبانی ہوئی

مانتے ہیں وہ مجھے یہ غیر کو تسلیم ہے

مان لیتے ہیں مری یہ بات ہے مانی ہوئی

غیر ہی کے ہو رہیں اب کیا رفو کرتے ہیں وہ

چاک دامانی سے ان کی چاک دامانی ہوئی

قحط تھا کتنے مزے کا حسن ارزاں بک گیا

اس گرانی میں مزے آئے وہ ارزانی ہوئی

زلف و رخ نے مارا تارا دیدہ و دل کیا کہیں

کس کو حیرانی ہوئی کس کو پریشانی ہوئی

زمزمی میں جام مے میں گر گیا پانی سوا

تھی مری قسمت میں جیسی آج سب پانی ہوئی

وعدہ دشمن سے نہ تھا تو حشر میں شرمائے کیوں

اس طرح وہ چپ ہیں گویا بات ہے مانی ہوئی

دیکھ کر سبزہ مری تربت کا بدلی وضع جور

آسمانی آپ کی پوشاک کیوں دھانی ہوئی

ڈھیر ہیں کتنے یہاں بام حسیناں سے بلند

جنس دل اٹھتی نہیں اتنی فراوانی ہوئی

پاک صاف ایسی ہے جس نے پی فرشتہ بن گیا

زاہدو یہ حور کے دامن میں ہے چھانی ہوئی

بند ٹوٹے مسکی محرم رنگ اڑا جوبن لٹا

غیر کے گھر جا کے ان کی خوب مہمانی ہوئی

آئیں جائیں گے عدو ہم توڑ کر بیٹھیں گے پاؤں

آپ نے درباں بنایا ہم سے دربانی ہوئی

شکل کیا کھنچتی مری میں گرد باد دشت تھا

گرد تصویر جنوں سے صنعت مانی ہوئی

پیتے ہی دنیا کے جھگڑوں سے ہوئے بے فکر ہم

کس قدر دشواریاں تھیں کتنی آسانی ہوئی

دامن گلچیں میں بھی کچھ پھول برسائے ریاضؔ

کہیے کچھ اس کی زمیں میں بھی گل افشانی ہوئی

ریاضؔ خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sath Sae Ki Tarah Wahshat Mein Uryani Hui

Riyaz Khairabadi

sath sae ki tarah wahshat mein uryani hui
mujh se diwane ke pichhe ye bhi diwani hui

sadqe un ki zulf ke meri pareshani hui
main to diwana tha ye bhi aaj diwani hui

un ke aanchal mein ada ban kar qayamat chhup chuki
wo meri jaani hui wo meri pahchani hui

kis ke jalwe ne nigah-e-shauq par Dala asar
tur ke daman mein achchhi barq jaulani hui

ab jo khul-khelen ye joban koi is ko kya kare
parde parde mein bahut un ki nigahbani hui

mante hain wo mujhe ye ghair ko taslim hai
man lete hain meri ye baat hai mani hui

ghair hi ke ho rahen ab kya rafu karte hain wo
chaak-damani se un ki chaak-damani hui

qaht tha kitne maze ka husn-e-arzan bik gaya
is girani mein maze aae wo arzani hui

zulf-o-ruKH ne mara tara dida-o-dil kya kahen
kis ko hairani hui kis ko pareshani hui

zamzami mein jam-e-mai mein gir gaya pani siwa
thi meri qismat mein jaisi aaj sab pani hui

wada dushman se na tha to hashr mein sharmae kyun
is tarah wo chup hain goya baat hai mani hui

dekh kar sabza meri turbat ka badli waz-e-jaur
aasmani aap ki poshak kyun dhani hui

Dher hain kitne yahan baam-e-hasinan se buland
jins-e-dil uThti nahin itni farawani hui

pak-saf aisi hai jis ne pi farishta ban gaya
zahido ye hur ke daman mein hai chhani hui

band TuTe maski mahram rang uDa joban luTa
ghair ke ghar ja ke un ki KHub mehmani hui

aaen jaenge adu hum toD kar baiThenge panw
aap ne darban banaya hum se darbani hui

shakl kya khinchti meri main gard-baad-e-dasht tha
gard taswir-e-junun se sanat-e-mani hui

pite hi duniya ke jhagDon se hue be-fikr hum
kis qadar dushwariyan thin kitni aasani hui

daman-e-gulchin mein bhi kuchh phul barsae 'riyaz'
kahiye kuchh us ki zamin mein bhi gul-afshani hui

(295) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sath Sae Ki Tarah Wahshat Mein Uryani Hui written by Riyaz Khairabadi at UrduPoint. Sath Sae Ki Tarah Wahshat Mein Uryani Hui is one of the masterpieces written by Riyaz Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Khairabadi' above.

Sath Sae Ki Tarah Wahshat Mein Uryani Hui is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sath Sae Ki Tarah Wahshat Mein Uryani Hui, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.