Zarur Panw Mein Apne Hina Wo Mal Ke Chale, Urdu Ghazal By Riyaz Khairabadi

Zarur Panw Mein Apne Hina Wo Mal Ke Chale is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyaz Khairabadi. Zarur Panw Mein Apne Hina Wo Mal Ke Chale comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zarur Panw Mein Apne Hina Wo Mal Ke Chale on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ضرور پاؤں میں اپنے حنا وہ مل کے چلے

ریاضؔ خیرآبادی

ضرور پاؤں میں اپنے حنا وہ مل کے چلے

نہ پہنچے آج بھی گھر تک مرے وہ کل کے چلے

یہ دوستی ہے کہ ہے ساتھ آگ پانی کا

جو نکلی آہ تو ساتھ اشک بھی نکل کے چلے

لحد سے لائی قیامت ہے پاؤں پڑ پڑ کر

ٹھہر ٹھہر کے چلے ہم مچل مچل کے چلے

ہزاروں ٹھوکریں ہر اک قدم پر اس میں ہیں

یہ راہ عشق ہے کیوں کر کوئی سنبھل کے چلے

یہ مجھ کو وصل کی شب ہائے موت کیوں آئی

حنا لگا کے جو آئے تھے ہاتھ مل کے چلے

تمہاری راہ میں چلنے کی ہے خوشی ایسی

کہ ساتھ نقش قدم بھی اچھل اچھل کے چلے

مزا تو آئے جو لیں رند بڑھ کے ہاتھوں ہاتھ

مزا تو آئے کہیں سے جو مے ابل کے چلے

ادا سے ناز سے چلنا قیامت ان کا تھا

جو مل کے دل کو کلیجے مسل مسل کے چلے

چلے وہ شمع جلانے مزار پر کس کے

کہ ساتھ ساتھ عدو آگ ہو کے جل کے چلے

تمہارے گیسو پرپیچ نے لیا ہم کو

کہ منہ میں سانپ کے یا منہ میں ہم اجل کے چلے

اٹھا جنازہ تو بولی یہ خانہ‌ بربادی

نیا مکان ہے کپڑے نئے بدل کے چلے

ہزاروں داغ ہیں دل میں جگر میں لاکھوں زخم

ریاضؔ محفل خوباں سے پھول پھل کے چلے

ریاضؔ خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zarur Panw Mein Apne Hina Wo Mal Ke Chale

Riyaz Khairabadi

zarur panw mein apne hina wo mal ke chale
na pahunche aaj bhi ghar tak mere wo kal ke chale

ye dosti hai ki hai sath aag pani ka
jo nikli aah to sath ashk bhi nikal ke chale

lahad se lai qayamat hai panw paD paD kar
Thahar Thahar ke chale hum machal machal ke chale

hazaron Thokaren har ek qadam par us mein hain
ye rah-e-ishq hai kyun kar koi sambhal ke chale

ye mujh ko wasl ki shab hae maut kyun aai
hina laga ke jo aae the hath mal ke chale

tumhaari rah mein chalne ki hai KHushi aisi
ki sath naqsh-e-qadam bhi uchhal uchhal ke chale

maza to aae jo len rind baDh ke hathon-hath
maza to aae kahin se jo mai ubal ke chale

ada se naz se chalna qayamat un ka tha
jo mal ke dil ko kaleje masal masal ke chale

chale wo shama jalane mazar par kis ke
ki sath sath adu aag ho ke jal ke chale

tumhaare gesu-e-pur-pech ne liya hum ko
ki munh mein sanp ke ya munh mein hum ajal ke chale

uTha janaza to boli ye KHana-bardari
naya makan hai kapDe nae badal ke chale

hazaron dagh hain dil mein jigar mein lakhon zaKHm
'riyaz' mahfil-e-KHuban se phul-phal ke chale

(369) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zarur Panw Mein Apne Hina Wo Mal Ke Chale written by Riyaz Khairabadi at UrduPoint. Zarur Panw Mein Apne Hina Wo Mal Ke Chale is one of the masterpieces written by Riyaz Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Khairabadi' above.

Zarur Panw Mein Apne Hina Wo Mal Ke Chale is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zarur Panw Mein Apne Hina Wo Mal Ke Chale, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.