Maine Dekha Hai Kaisa Ye Sapna Naya Raat Ke Is Pahar, Urdu Ghazal By Sabihuddin Shaibi

Maine Dekha Hai Kaisa Ye Sapna Naya Raat Ke Is Pahar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sabihuddin Shaibi. Maine Dekha Hai Kaisa Ye Sapna Naya Raat Ke Is Pahar comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Maine Dekha Hai Kaisa Ye Sapna Naya Raat Ke Is Pahar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں نے دیکھا ہے کیسا یہ سپنا نیا رات کے اس پہر

صبیح الدین شعیبی

میں نے دیکھا ہے کیسا یہ سپنا نیا رات کے اس پہر

مجھ سے بچھڑا ہوا کوئی اپنا ملا رات کے اس پہر

نیند کیوں اڑ گئی چین کیوں کھو گیا رات کے اس پہر

یہ اچانک مرے ساتھ کیا ہو گیا رات کے اس پہر

یوں لگا مجھ کو جیسے فضا خوشبوؤں سے مہکنے لگی

پھر کسی کی گلی سے چلی ہے ہوا رات کے اس پہر

دل میں جاگی ہے کیسی تمنا نئی خود میں حیران ہوں

اک نئی آرزو نے مجھے چھو لیا رات کے اس پہر

ایک منزل بسی تھی نگاہوں میں جانے وہ کیا ہو گئی

اور خود بخود ایک گلشن بسا رات کے اس پہر

اس کی بکھری ہوئی لٹ نے الجھائے رکھا مجھے اور میں

چاہتا تھا ہٹا دوں نہ ممکن ہوا رات کے اس پہر

اور کیا کیجئے گا صبیحؔ اس کی اب آپ منظر کشی

پل جو آیا اور آ کر چلا بھی گیا رات کے اس پہر

صبیح الدین شعیبی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Maine Dekha Hai Kaisa Ye Sapna Naya Raat Ke Is Pahar

Sabihuddin Shaibi

main ne dekha hai kaisa ye sapna naya raat ke is pahar
mujh se bichhDa hua koi apna mila raat ke is pahar

nind kyon uD gai chain kyon kho gaya raat ke is pahar
ye achanak mere sath kya ho gaya raat ke is pahar

yun laga mujh ko jaise faza KHushbuon se mahakne lagi
phir kisi ki gali se chali hai hawa raat ke is pahar

dil mein jagi hai kaisi tamanna nai KHud main hairan hun
ek nai aarzu ne mujhe chhu liya raat ke is pahar

ek manzil basi thi nigahon mein jaane wo kya ho gai
aur KHud-baKHud ek gulshan basa raat ke is pahar

us ki bikhri hui laT ne uljhae rakkha mujhe aur main
chahta tha haTa dun na mumkin hua raat ke is pahar

aur kya kijiyega 'sabih' us ki ab aap manzar-kashi
pal jo aaya aur aa kar chala bhi gaya raat ke is pahar

(471) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Maine Dekha Hai Kaisa Ye Sapna Naya Raat Ke Is Pahar written by Sabihuddin Shaibi at UrduPoint. Maine Dekha Hai Kaisa Ye Sapna Naya Raat Ke Is Pahar is one of the masterpieces written by Sabihuddin Shaibi. You can also find the complete poetry collection of Sabihuddin Shaibi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sabihuddin Shaibi' above.

Maine Dekha Hai Kaisa Ye Sapna Naya Raat Ke Is Pahar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Maine Dekha Hai Kaisa Ye Sapna Naya Raat Ke Is Pahar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.