Adu Ho Gaya Aadmi Aadmi Ka, Urdu Ghazal By Sabir Abuhari

Adu Ho Gaya Aadmi Aadmi Ka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sabir Abuhari. Adu Ho Gaya Aadmi Aadmi Ka comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Adu Ho Gaya Aadmi Aadmi Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عدو ہو گیا آدمی آدمی کا

صابر ابو ہری

عدو ہو گیا آدمی آدمی کا

عجب دور ہے یہ نئی روشنی کا

الجھتے ہیں نسلی تنافر میں انساں

مٹا کر نہ رکھ دیں یہ نام آدمی کا

بس اک سانس ہے آئے آئے نہ آئے

بھروسا نہیں ہے کوئی زندگی کا

کدورت کو چھوڑو محبت بڑھاؤ

یہ دنیا ہے میلہ گھڑی دو گھڑی کا

فرشتوں سے نسبت مجھے دینے والو

نہیں جانتے تم مقام آدمی کا

غم لا زوال اک عطا کر کے مجھ کو

ادا کر دیا تو نے حق دوستی کا

جو ساقی کی خاطر ہی پی لوں تو پی لوں

نہیں شوق ورنہ مجھے مے کشی کا

بڑی چیز ہے مہر و الفت بھی صابرؔ

اسی میں ہے پوشیدہ گوہر خوشی کا

صابر ابو ہری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Adu Ho Gaya Aadmi Aadmi Ka

Sabir Abuhari

adu ho gaya aadmi aadmi ka
ajab daur hai ye nai raushni ka

ulajhte hain nasli-tanafur mein insan
miTa kar na rakh den ye nam aadmi ka

bas ek sans hai aae aae na aae
bharosa nahin hai koi zindagi ka

kudurat ko chhoDo mohabbat baDhao
ye duniya hai mela ghaDi do ghaDi ka

farishton se nisbat mujhe dene walo
nahin jaante tum maqam aadmi ka

gham-e-la-zawal ek ata kar ke mujh ko
ada kar diya tu ne haq dosti ka

jo saqi ki KHatir hi pi lun to pi lun
nahin shauq warna mujhe mai-kashi ka

baDi chiz hai mehr-o-ulfat bhi 'sabir'
isi mein hai poshida gauhar KHushi ka

(497) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Adu Ho Gaya Aadmi Aadmi Ka written by Sabir Abuhari at UrduPoint. Adu Ho Gaya Aadmi Aadmi Ka is one of the masterpieces written by Sabir Abuhari. You can also find the complete poetry collection of Sabir Abuhari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sabir Abuhari' above.

Adu Ho Gaya Aadmi Aadmi Ka is a widely read Urdu Ghazal. If you like Adu Ho Gaya Aadmi Aadmi Ka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.