Kirshn Ka KHitab, Urdu Nazam By Sabir Abuhari

Kirshn Ka KHitab is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Sabir Abuhari. Kirshn Ka KHitab comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Kirshn Ka KHitab on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کرشن کا خطاب

صابر ابو ہری

فنا ہونے لگتا ہے جس وقت دھرم

مسیحا نفس بن کے آتا ہوں میں

عطا کر کے اس کو نئی زندگی

تباہی کی زد سے بچاتا ہوں میں

مٹا کر زمانے سے باطل کا نام

صداقت کا ڈنکا بجاتا ہوں میں

کمر بستہ ہوتے ہیں جو جنگ پر

انہیں راہ الفت دکھاتا ہوں میں

سنیں جو نہ پھر بھی نصیحت مری

زمانے سے ان کو مٹاتا ہوں میں

جو لڑتے ہیں دنیا میں حق کے لئے

ظفر یاب ان کو بناتا ہوں میں

بجا کر کبھی تو مدھر بنسری

محبت کے نغمے سناتا ہوں میں

کبھی گرم کرتا ہوں میدان جنگ

شجاعت کے جوہر دکھاتا ہوں میں

کبھی جنگ میں بہر عرفان حق

فصاحت کے دریا بہاتا ہوں میں

سکھا کر بشر کو رموز حیات

فرشتوں کا ہمسر بناتا ہوں میں

جو لاتے ہیں ایماں مری ذات پر

گناہوں سے ان کو بچاتا ہوں میں

انہیں بخشتا ہوں بقائے دوام

جنہیں معتقد اپنا پاتا ہوں میں

شرن میں جو آتے ہیں صابرؔ مری

تناسخ سے ان کو چھڑاتا ہوں میں

صابر ابو ہری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kirshn Ka KHitab

Sabir Abuhari

fana hone lagta hai jis waqt dharm
masiha-nafas ban ke aata hun main
ata kar ke us ko nai zindagi
tabahi ki zad se bachata hun main
miTa kar zamane se baatil ka nam
sadaqat ka Danka bajata hun main
kamar-basta hote hain jo jang par
unhen rah-e-ulfat dikhata hun main
sunen jo na phir bhi nasihat meri
zamane se un ko miTata hun main
jo laDte hain duniya mein haq ke liye
zafar-yab un ko banata hun main
baja kar kabhi to madhur bansuri
mohabbat ke naghme sunata hun main
kabhi garm karta hun maidan-e-jang
shujaat ke jauhar dikhata hun main
kabhi jang mein bahr-e-irfan-e-haq
fasahat ke dariya bahata hun main
sikha kar bashar ko rumuz-e-hayat
farishton ka ham-sar banata hun main
jo late hain iman meri zat par
gunahon se un ko bachata hun main
unhen baKHshta hun baqa-e-dawam
jinhen mo'taqid apna pata hun main
sharan mein jo aate hain 'sabir' meri
tanasuKH se un ko chhuData hun main

(460) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kirshn Ka KHitab written by Sabir Abuhari at UrduPoint. Kirshn Ka KHitab is one of the masterpieces written by Sabir Abuhari. You can also find the complete poetry collection of Sabir Abuhari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sabir Abuhari' above.

Kirshn Ka KHitab is a widely read Urdu Nazam. If you like Kirshn Ka KHitab, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.