Azabon Ka Shahr, Urdu Nazam By Sadiq

Azabon Ka Shahr is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Sadiq. Azabon Ka Shahr comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Azabon Ka Shahr on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عذابوں کا شہر

صادق

یہ عذابوں کا شہر ہے

یہاں خود کو بچانے کے تمام حربے

بے کار ثابت ہوتے ہیں

جب تم سو رہے ہوگے

کوئی تمہاری ٹانگیں چرا لے جائے گا

اور جب تم اپنے پڑوسی سے

ٹانگیں ادھار لے کر

پولس تھانے

رپورٹ لکھوانے کے لیے پہنچو گے

تو تھانے دار رشوت میں

تمہاری آنکھوں کا مطالبہ کرے گا

جن کے دینے سے انکار کرنے پر

تم دھر لیے جاؤ گے

دماغ کی سمگلنگ کے جرم میں

وکیل کو اپنے بازو

اور مجسٹریٹ کو ناک اور کان دیے بغیر

تمہاری رہائی ممکن نہیں

عدالت سے

با عزت رہا ہونے کے بعد

اپنے کھوئے ہوئے تمام اعضا

حاصل کرنے کے لیے تمہیں

صرف اپنا ضمیر چکانا پڑے گا

صادق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Azabon Ka Shahr

Sadiq

ye azabon ka shahr hai
yahan KHud ko bachane ke tamam harbe
bekar sabit hote hain

jab tum so rahe hoge
koi tumhaari Tangen chura le jaega
aur jab tum apne paDosi se
Tangen udhaar le kar
police thane
report likhwane ke liye pahunchoge
to thanedar rishwat mein
tumhaari aankhon ka mutaliba karega
jin ke dene se inkar karne par
tum dhar liye jaoge
dimagh ki smuggling ke jurm mein
wakil ko apne bazu
aur magistrate ko nak aur kan diye baghair
tumhaari rihai mumkin nahin

adalat se
ba-izzat riha hone ke baad
apne khoe hue tamam aaza
hasil karne ke liye tumhein
sirf apna zamir chukana paDega

(582) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Azabon Ka Shahr written by Sadiq at UrduPoint. Azabon Ka Shahr is one of the masterpieces written by Sadiq. You can also find the complete poetry collection of Sadiq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sadiq' above.

Azabon Ka Shahr is a widely read Urdu Nazam. If you like Azabon Ka Shahr, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.