AaKHiri Din Nazdik Hai, Urdu Nazam By Saeed Arifi

AaKHiri Din Nazdik Hai is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Saeed Arifi. AaKHiri Din Nazdik Hai comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read AaKHiri Din Nazdik Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آخری دن نزدیک ہے

سعید عارفی

یہ سوتے جاگتے لمحات

مجھے اب حالت احساس میں رہنے نہیں دیتے

ہر اک پل

بوجھ لگتا ہے

یہ جسم اپنا

مجھ تنہائیوں کے ہر سفر سے

خوف آتا ہے

مجھے یہ چاندنی بھی اب

بہت اچھی نہیں لگتی

کسی چہرے پہ

وہ سرخی شفق جیسی

نہیں ملتی

مجھے معصوم بچوں کا ہمکنا اور

اچھلنا کودنا

کلکاریاں لینا

بھی سب بے کیف لگتا ہے

کہ

اب اک دوسرے کے غم میں بھی

آنسو بہانا

بھول بیٹھے ہیں

کہ اب تو صرف

بارودی دھماکوں

ایٹمی خطروں کی باتوں میں

بہت سامان سرشاری ہے کیوں آخر

یہ کس منزل کی جانب گامزن ہیں سب

سعید عارفی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

AaKHiri Din Nazdik Hai

Saeed Arifi

ye sote-jagte lamhat
mujhe ab haalat-e-ehsas mein rahne nahin dete
har ek pal
bojh lagta hai
ye jism apna
mujh tanhaiyon ke har safar se
KHauf aata hai

mujhe ye chandni bhi ab
bahut achchhi nahin lagti
kisi chehre pe
wo surKHi shafaq jaisi
nahin milti
mujhe masum bachchon ka humakna aur
uchhalna kudna
kilkariyan lena
bhi sab be-kaif lagta hai
ki
ab ek dusre ke gham mein bhi
aansu bahana
bhul baiThe hain
ki ab to sirf
barudi dhamakon
atomi KHatron ki baaton mein
bahut saman-e-sarshaari hai kyun aaKHir
ye kis manzil ki jaanib gamzan hain sab

(268) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read AaKHiri Din Nazdik Hai written by Saeed Arifi at UrduPoint. AaKHiri Din Nazdik Hai is one of the masterpieces written by Saeed Arifi. You can also find the complete poetry collection of Saeed Arifi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saeed Arifi' above.

AaKHiri Din Nazdik Hai is a widely read Urdu Nazam. If you like AaKHiri Din Nazdik Hai, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.