Dekh Kar Rang-e-hina Jaan Fana Hoti Hai, Urdu Ghazal By Safdar Mirzapuri

Dekh Kar Rang-e-hina Jaan Fana Hoti Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Safdar Mirzapuri. Dekh Kar Rang-e-hina Jaan Fana Hoti Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dekh Kar Rang-e-hina Jaan Fana Hoti Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دیکھ کر رنگ حنا جان فنا ہوتی ہے

صفدر مرزا پوری

دیکھ کر رنگ حنا جان فنا ہوتی ہے

کیا حسینوں کی ہی مٹھی میں قضا ہوتی ہے

اپنے بسمل کی تڑپ دیکھ تو اس دم قاتل

جب تری تیغ گلے مل کے جدا ہوتی ہے

ترے قربان نہ جا باغ میں جوڑا کھولے

پانی پانی ترے بالوں سے گھٹا ہوتی ہے

غیر تو غیر ہیں احباب بدل جاتے ہیں

ہائے بگڑی ہوئی تقدیر بھی کیا ہوتی ہے

اس رہ سخت میں پاؤں کا ہے رکھنا مشکل

کس سے طے منزل تسلیم و رضا ہوتی ہے

دور سے بھی اسے سننا نہ کبھی او شہ حسن

کہ اثر خیز فقیروں کی صدا ہوتی ہے

اور تڑپاتے ہو دل دے کے تسلی دل کو

خوب بیمار محبت کی دوا ہوتی ہے

داغ بھی دل کے مٹے دل کی امیدیں بھی مٹیں

تری حسرت بھی گلے مل کے جدا ہوتی ہے

مل ہی جاتے ہیں نصیبوں سے نہ ملنے والے

یہ بھی ہوتا ہے جو تقدیر رسا ہوتی ہے

یہ تو کیوں کر کہوں ارمان نکل جاتے ہیں

آپ ملتے ہیں تو تسکین ذرا ہوتی ہے

فصل گل سے بھی ہے دلچسپ جوانی کی بہار

گل نئے کھلتے ہیں جب تیز ہوا ہوتی ہے

ہاتھ ظالم نے سوئے چرخ اٹھائے صفدرؔ

لے مبارک ترے مرنے کی دعا ہوتی ہے

صفدر مرزا پوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dekh Kar Rang-e-hina Jaan Fana Hoti Hai

Safdar Mirzapuri

dekh kar rang-e-hina jaan fana hoti hai
kya hasinon ki hi muTThi mein qaza hoti hai

apne bismil ki taDap dekh tu us dam qatil
jab teri tegh gale mil ke juda hoti hai

tere qurban na ja bagh mein juDa khole
pani pani tere baalon se ghaTa hoti hai

ghair to ghair hain ahbab badal jate hain
hae bigDi hui taqdir bhi kya hoti hai

is rah-e-saKHt mein panw ka hai rakhna mushkil
kis se tai manzil-e-taslim-o-raza hoti hai

dur se bhi use sunna na kabhi o shah-e-husn
ki asar-KHez faqiron ki sada hoti hai

aur taDpate ho dil de ke tasalli dil ko
KHub bimar-e-mohabbat ki dawa hoti hai

dagh bhi dil ke miTe dil ki umiden bhi miTin
teri hasrat bhi gale mil ke juda hoti hai

mil hi jate hain nasibon se na milne wale
ye bhi hota hai jo taqdir-e-rasa hoti hai

ye to kyunkar kahun arman nikal jate hain
aap milte hain to taskin zara hoti hai

fasl-e-gul se bhi hai dilchasp jawani ki bahaar
gul nae khilte hain jab tez hawa hoti hai

hath zalim ne su-e-charKH uThae 'safdar'
le mubarak tere marne ki dua hoti hai

(307) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dekh Kar Rang-e-hina Jaan Fana Hoti Hai written by Safdar Mirzapuri at UrduPoint. Dekh Kar Rang-e-hina Jaan Fana Hoti Hai is one of the masterpieces written by Safdar Mirzapuri. You can also find the complete poetry collection of Safdar Mirzapuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Safdar Mirzapuri' above.

Dekh Kar Rang-e-hina Jaan Fana Hoti Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dekh Kar Rang-e-hina Jaan Fana Hoti Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.