Kyun Dil Tere KHayal Ka Hamil Nahin Raha, Urdu Ghazal By Saghar Khayyami

Kyun Dil Tere KHayal Ka Hamil Nahin Raha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saghar Khayyami. Kyun Dil Tere KHayal Ka Hamil Nahin Raha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kyun Dil Tere KHayal Ka Hamil Nahin Raha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کیوں دل ترے خیال کا حامل نہیں رہا

ساغر خیامی

کیوں دل ترے خیال کا حامل نہیں رہا

یہ آئینہ بھی دید کے قابل نہیں رہا

صحرا نوردیوں میں گزاری ہے زندگی

اب مجھ کو خوف دورئ منزل نہیں رہا

ارباب رنگ و بو کی نظر میں خدا گواہ

کب احترام کوچۂ قاتل نہیں رہا

زنداں میں خامشی ہے کوئی بولتا نہیں

حد ہو گئی کہ شور سلاسل نہیں رہا

مانوس اس قدر ہوئے دریا کی موج سے

ساحل بھی اعتبار کے قابل نہیں رہا

اس وقت مجھ کو دعوت جام و سبو ملی

جس وقت میں گناہ کے قابل نہیں رہا

ساغر خیامی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kyun Dil Tere KHayal Ka Hamil Nahin Raha

Saghar Khayyami

kyun dil tere KHayal ka hamil nahin raha
ye aaina bhi did ke qabil nahin raha

sahra-nawardiyon mein guzari hai zindagi
ab mujh ko KHauf-e-duri-e-manzil nahin raha

arbab-e-rang-o-bu ki nazar mein KHuda gawah
kab ehtiram-e-kucha-e-qatil nahin raha

zindan mein KHamushi hai koi bolta nahin
had ho gai ki shor-e-salasil nahin raha

manus is qadar hue dariya ki mauj se
sahil bhi e'tibar ke qabil nahin raha

us waqt mujh ko dawat-e-jam-o-subu mili
jis waqt main gunah ke qabil nahin raha

(438) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kyun Dil Tere KHayal Ka Hamil Nahin Raha written by Saghar Khayyami at UrduPoint. Kyun Dil Tere KHayal Ka Hamil Nahin Raha is one of the masterpieces written by Saghar Khayyami. You can also find the complete poetry collection of Saghar Khayyami by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saghar Khayyami' above.

Kyun Dil Tere KHayal Ka Hamil Nahin Raha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kyun Dil Tere KHayal Ka Hamil Nahin Raha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.