Chaman Mein Rah Ke Bhi Kyun Dil Ki Virani Nahin Jati, Urdu Ghazal By Sahar Mahmood

Chaman Mein Rah Ke Bhi Kyun Dil Ki Virani Nahin Jati is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sahar Mahmood. Chaman Mein Rah Ke Bhi Kyun Dil Ki Virani Nahin Jati comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Chaman Mein Rah Ke Bhi Kyun Dil Ki Virani Nahin Jati on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چمن میں رہ کے بھی کیوں دل کی ویرانی نہیں جاتی

سحر محمود

چمن میں رہ کے بھی کیوں دل کی ویرانی نہیں جاتی

بس اتنی بات پر لوگوں کی حیرانی نہیں جاتی

مقدر پر ہوا ہوں جب سے میں راضی اسی دن سے

خوشی ہو یا کہ غم چہرے کی تابانی نہیں جاتی

فرشتے بھی ہماری قسمتوں پر ناز کرتے ہیں

مگر اپنی حقیقت ہم سے پہچانی نہیں جاتی

انا کا مسئلہ دیوانگی سے کم نہیں ہوتا

حقیقت کتنی بھی واضح ہو وہ مانی نہیں جاتی

حقیقت میں وہ آئینہ صفت انسان ہوتا ہے

کہ توبہ کر کے بھی جس کی پشیمانی نہیں جاتی

یہ شکوے اور یہ حیلے بہانے کیوں عبث کیجے

جنہیں بچنا ہو ان کی پاک دامانی نہیں جاتی

نظر میں پھر رہا ہے بس کسی کے حسن کا منظر

مذاق دید کی وہ جلوہ سامانی نہیں جاتی

محبت کے لیے اب تو ریا کاری ضروری ہے

یہاں اہل جنوں کی قدر پہچانی نہیں جاتی

قیامت کی نشانی یہ نہیں تو اور پھر کیا ہے

لباس اچھے ہیں لیکن پھر بھی عریانی نہیں جاتی

تعلق دوریوں سے اور بھی مضبوط ہوتا ہے

سحرؔ انساں کی لیکن خوئے نادانی نہیں جاتی

سحر محمود

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chaman Mein Rah Ke Bhi Kyun Dil Ki Virani Nahin Jati

Sahar Mahmood

chaman mein rah ke bhi kyun dil ki virani nahin jati
bas itni baat par logon ki hairani nahin jati

muqaddar par hua hun jab se main raazi usi din se
KHushi ho ya ki gham chehre ki tabani nahin jati

farishte bhi hamari qismaton par naz karte hain
magar apni haqiqat hum se pahchani nahin jati

ana ka masala diwangi se kam nahin hota
haqiqat kitni bhi wazeh ho wo mani nahin jati

haqiqat mein wo aaina-sifat insan hota hai
ki tauba kar ke bhi jis ki pashemani nahin jati

ye shikwe aur ye hile-bahane kyun abas kije
jinhen bachna ho un ki pak-damani nahin jati

nazar mein phir raha hai bas kisi ke husn ka manzar
mazaq-e-did ki wo jalwa-samani nahin jati

mohabbat ke liye ab to riya-kari zaruri hai
yahan ahl-e-junun ki qadr pahchani nahin jati

qayamat ki nishani ye nahin to aur phir kya hai
libas achchhe hain lekin phir bhi uryani nahin jati

talluq duriyon se aur bhi mazbut hota hai
'sahar' insan ki lekin KHu-e-nadani nahin jati

(559) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Chaman Mein Rah Ke Bhi Kyun Dil Ki Virani Nahin Jati written by Sahar Mahmood at UrduPoint. Chaman Mein Rah Ke Bhi Kyun Dil Ki Virani Nahin Jati is one of the masterpieces written by Sahar Mahmood. You can also find the complete poetry collection of Sahar Mahmood by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sahar Mahmood' above.

Chaman Mein Rah Ke Bhi Kyun Dil Ki Virani Nahin Jati is a widely read Urdu Ghazal. If you like Chaman Mein Rah Ke Bhi Kyun Dil Ki Virani Nahin Jati, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.