Hai Ye Surat Gham Ke Bas Izhaar Ki, Urdu Ghazal By Sahar Mahmood

Hai Ye Surat Gham Ke Bas Izhaar Ki is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sahar Mahmood. Hai Ye Surat Gham Ke Bas Izhaar Ki comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hai Ye Surat Gham Ke Bas Izhaar Ki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہے یہ صورت غم کے بس اظہار کی

سحر محمود

ہے یہ صورت غم کے بس اظہار کی

ڈھال دیجے شکل میں اشعار کی

خیریت مطلوب ہے دل دار کی

داستاں مت چھیڑئیے سنسار کی

ہے عجب صورت یہاں تکرار کی

دل کی مانیں بات یا دل دار کی

خاصیت یہ دل کے ہے دربار کی

قدر ہوتی ہے یہاں بس پیار کی

ہے خوشی اتنے میں ہی بیمار کی

کوئی صورت تو ہوئی دیدار کی

ذمہ داری تم پہ ہے گھر بار کی

حرکتیں چھوڑو میاں بے کار کی

دل میں رہتے ہیں مگر انجان سے

جانے کیا مرضی ہے اپنے یار کی

مسئلہ پند و نصیحت کا درست

چھاپ پڑتی ہے مگر کردار کی

ہر تعلق کا ہے کچھ مقصد سحرؔ

کون سنتا ہے کسی لاچار کی

سحر محمود

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hai Ye Surat Gham Ke Bas Izhaar Ki

Sahar Mahmood

hai ye surat gham ke bas izhaar ki
Dhaal dije shakl mein ashaar ki

KHairiyat matlub hai dildar ki
dastan mat chheDiye sansar ki

hai ajab surat yahan takrar ki
dil ki manen baat ya dildar ki

KHasiyat ye dil ke hai darbar ki
qadr hoti hai yahan bas pyar ki

hai KHushi itne mein hi bimar ki
koi surat to hui didar ki

zimmedari tum pe hai ghar-bar ki
harkaten chhoDo miyan bekar ki

dil mein rahte hain magar anjaan se
jaane kya marzi hai apne yar ki

masala pand-o-nasihat ka durust
chhap paDti hai magar kirdar ki

har talluq ka hai kuchh maqsad 'sahar'
kaun sunta hai kisi lachaar ki

(483) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hai Ye Surat Gham Ke Bas Izhaar Ki written by Sahar Mahmood at UrduPoint. Hai Ye Surat Gham Ke Bas Izhaar Ki is one of the masterpieces written by Sahar Mahmood. You can also find the complete poetry collection of Sahar Mahmood by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sahar Mahmood' above.

Hai Ye Surat Gham Ke Bas Izhaar Ki is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hai Ye Surat Gham Ke Bas Izhaar Ki, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.