KHud Ko KHud Mein Tahlil Karo, Urdu Nazam By Sahil Ahmad

KHud Ko KHud Mein Tahlil Karo is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Sahil Ahmad. KHud Ko KHud Mein Tahlil Karo comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read KHud Ko KHud Mein Tahlil Karo on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خود کو خود میں تحلیل کرو

ساحل احمد

چپ چاپ رہو

ورنہ خاموشی کی چادر

چاک ہو جائے گی

ممکن ہے اس کی یہ پاکی بھی

پاکی نہ رہ جائے

اور یہیں پھر دن کے ڈھلنے پر

احساس گنہ بڑھ جائے

پاکی، پاکی نہ رہ جائے

اور یہیں یہ خاموشی کی چادر

اوڑھ نہ پائے

کوڑھ من کا وہ بن جائے

بہتر ہے چپ چاپ رہو

اس خاموشی کی چادر کو

گرد انا سے دور رکھو

خود کو دنیا سے دور رکھو

دنیا خود بن جاؤ

اپنے اندر تہہ در تہہ باطن میں

ایک جہاں آباد کرو

اخلاق و صداقت

صبر و قناعت

عبد و ریاضت

سمتیں بن جائیں

ارض و سما بن جائیں

خود کو خود میں تحلیل کرو

اپنی پھر تکمیل کرو

ساحل احمد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHud Ko KHud Mein Tahlil Karo

Sahil Ahmad

chup-chap raho
warna KHamoshi ki chadar
chaak ho jaegi
mumkin hai is ki ye paki bhi
paki na rah jae
aur yahin phir din ke Dhalne par
ehsas-e-gunah baDh jae
paki, paki na rah jae
aur yahin ye KHamoshi ki chadar
oDh na pae
koDh man ka wo ban jae
behtar hai chup-chap raho
is KHamoshi ki chadar ko
gard-e-ana se dur rakho
KHud ko duniya se dur rakho
duniya KHud ban jao
apne andar tah-dar-tah baatin mein
ek jahan aabaad karo
aKHlaq o sadaqat
sabr-o-qanaat
abd o riyazat
samten ban jaen
arz o sama ban jaen
KHud ko KHud mein tahlil karo
apni phir takmil karo

(506) ووٹ وصول ہوئے

You can read KHud Ko KHud Mein Tahlil Karo written by Sahil Ahmad at UrduPoint. KHud Ko KHud Mein Tahlil Karo is one of the masterpieces written by Sahil Ahmad. You can also find the complete poetry collection of Sahil Ahmad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sahil Ahmad' above.

KHud Ko KHud Mein Tahlil Karo is a widely read Urdu Nazam. If you like KHud Ko KHud Mein Tahlil Karo, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.