Ek Aur Aasman Ke Nazare Tarashte, Urdu Ghazal By Saima Zaidi

Ek Aur Aasman Ke Nazare Tarashte is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saima Zaidi. Ek Aur Aasman Ke Nazare Tarashte comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ek Aur Aasman Ke Nazare Tarashte on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اک اور آسماں کے نظارے تراشتے

صائمہ زیدی

اک اور آسماں کے نظارے تراشتے

ہم تجھ کو دیکھتے تو ستارے تراشتے

آنکھوں سے تھامتے یہ صد آئینۂ کائنات

اور پھر سے نین نقش تمہارے تراشتے

کھلتی تری جبین بشارت کے چاند سی

اور لب سپردگی کے اشارے تراشتے

کرتے کسی کے لمس کی حدت سے مشورے

برفاب شب کے زرد کنارے تراشتے

دشت خیال یار پہ اک خیمۂ وصال

کیا اور تیرے ہجر کے مارے تراشتے

میں چپ رہی کہ بات مرے دوستوں کی تھی

وہ جو بھی جھوٹ سچ مرے بارے تراشتے

اب ٹوٹنے لگا ہے ہرے پانیوں کا زور

ساحل کو کاٹتے کبھی دھارے تراشتے

صائمہ زیدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ek Aur Aasman Ke Nazare Tarashte

Saima Zaidi

ek aur aasman ke nazare tarashte
hum tujh ko dekhte to sitare tarashte

aankhon se thamte ye sad-aina kainat
aur phir se nain-naqsh tumhaare tarashte

khilti teri jabin bashaarat ke chand si
aur lab supurdagi ke ishaare tarashte

karte kisi ke lams ki hiddat se mashware
barfab shab ke zard kinare tarashte

dasht-e-KHayal-e-yar pe ek KHema-e-visal
kya aur tere hijr ke mare tarashte

main chup rahi ki baat mere doston ki thi
wo jo bhi jhuT-sach mere bare tarashte

ab TuTne laga hai hare paniyon ka zor
sahil ko kaTte kabhi dhaare tarashte

(254) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ek Aur Aasman Ke Nazare Tarashte written by Saima Zaidi at UrduPoint. Ek Aur Aasman Ke Nazare Tarashte is one of the masterpieces written by Saima Zaidi. You can also find the complete poetry collection of Saima Zaidi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saima Zaidi' above.

Ek Aur Aasman Ke Nazare Tarashte is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ek Aur Aasman Ke Nazare Tarashte, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.