Hamein Chaar Samt Ki DauD Mein Wahi Gard-e-baad-e-sada Mila, Urdu Ghazal By Sajjad Baqar Rizvi

Hamein Chaar Samt Ki DauD Mein Wahi Gard-e-baad-e-sada Mila is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sajjad Baqar Rizvi. Hamein Chaar Samt Ki DauD Mein Wahi Gard-e-baad-e-sada Mila comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hamein Chaar Samt Ki DauD Mein Wahi Gard-e-baad-e-sada Mila on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہمیں چار سمت کی دوڑ میں وہی گرد باد صدا ملا

سجاد باقر رضوی

ہمیں چار سمت کی دوڑ میں وہی گرد باد صدا ملا

بنے اپنی ذات میں گونج ہم نہ خودی ملی نہ خدا ملا

کبھی شہر شہر خرد پھری کبھی دشت دشت جنوں گیا

مری زندگی مجھے کچھ بتا تجھے کیا ملا مجھے کیا ملا

اسے ڈھونڈتے تھے جو کو بہ کو وہ سفر کی گرد میں اٹ گئے

کسے راہ نکہت گل ملی کسے نقش‌ پائے صبا ملا

سر سطح ریگ لکھی ہوئی کوئی داستان جنوں ملی

سر لوح آب بنا ہوا کوئی نقش کار وفا ملا

کسے حال اپنا سنائیں ہم کسے شوق اپنا بتائیں ہم

کوئی ہم سفر ہے زمین کا کوئی ہم رکاب ہوا ملا

کبھی کوئی آنکھ تو بھیگتی کبھی کوئی دل تو پسیجتا

مرے شوق تازہ نوائی کو یہ نوا گری کا صلا ملا

مری بند آنکھ پہ وا ہوئے کئی در طلسم خیال کے

مجھے نیند آئے تو کس طرح مجھے خواب عہد فزا ملا

میں شجر ہوں موسم درد کا یہی رت ہے میرے لیے سدا

کبھی شاخ شاخ ہری ملی کبھی برگ برگ جدا ملا

یہی روشنی مرے ہاتھ ہے یہی تازگی مرے ساتھ ہے

کبھی کوئی داغ چمک اٹھا کبھی کوئی زخم نیا ملا

میں چلا تھا شہر کی راہ سے مگر اپنی ذات میں گم ہوا

مجھے باقرؔ اپنی تلاش تھی مجھے آج اپنا پتا ملا

سجاد باقر رضوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hamein Chaar Samt Ki DauD Mein Wahi Gard-e-baad-e-sada Mila

Sajjad Baqar Rizvi

hamein chaar samt ki dauD mein wahi gard-e-baad-e-sada mila
bane apni zat mein gunj hum na KHudi mili na KHuda mila

kabhi shahr shahr KHirad phiri kabhi dasht dasht junun gaya
meri zindagi mujhe kuchh bata tujhe kya mila mujhe kya mila

use DhunDte the jo ku-ba-ku wo safar ki gard mein aT gae
kise rah-e-nikhat-e-gul mili kise naqsh-e-pa-e-saba mila

sar-e-sath-e-reg likhi hui koi dastan-e-junun mili
sar-e-lauh-e-ab bana hua koi naqsh-e-kar-e-wafa mila

kise haal apna sunaen hum kise shauq apna bataen hum
koi ham-safar hai zamin ka koi ham-rikab-e-hawa mila

kabhi koi aankh to bhigti kabhi koi dil to pasijta
mere shauq-e-taza-nawai ko ye nawa-gari ka sala mila

meri band aankh pe wa hue kai dar tilism-e-KHayal ke
mujhe nind aae to kis tarah mujhe KHwab-e-ahd-faza mila

main shajar hun mausam-e-dard ka yahi rut hai mere liye sada
kabhi shaKH shaKH hari mili kabhi barg barg juda mila

yahi raushni mere hath hai yahi tazgi mere sath hai
kabhi koi dagh chamak uTha kabhi koi zaKHm naya mila

main chala tha shahr ki rah se magar apni zat mein gum hua
mujhe 'baqar' apni talash thi mujhe aaj apna pata mila

(329) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hamein Chaar Samt Ki DauD Mein Wahi Gard-e-baad-e-sada Mila written by Sajjad Baqar Rizvi at UrduPoint. Hamein Chaar Samt Ki DauD Mein Wahi Gard-e-baad-e-sada Mila is one of the masterpieces written by Sajjad Baqar Rizvi. You can also find the complete poetry collection of Sajjad Baqar Rizvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sajjad Baqar Rizvi' above.

Hamein Chaar Samt Ki DauD Mein Wahi Gard-e-baad-e-sada Mila is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hamein Chaar Samt Ki DauD Mein Wahi Gard-e-baad-e-sada Mila, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.