Lafz Jab Koi Na Hath Aaya Maani Ke Liye, Urdu Ghazal By Sajjad Baqar Rizvi

Lafz Jab Koi Na Hath Aaya Maani Ke Liye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sajjad Baqar Rizvi. Lafz Jab Koi Na Hath Aaya Maani Ke Liye comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Lafz Jab Koi Na Hath Aaya Maani Ke Liye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

لفظ جب کوئی نہ ہاتھ آیا معانی کے لیے

سجاد باقر رضوی

لفظ جب کوئی نہ ہاتھ آیا معانی کے لیے

کیا مزے ہم نے زبان بے زبانی کے لیے

یہ دوراہا ہے چلو تم رنگ و بو کی کھوج میں

ہم چلے صحرائے دل کی باغبانی کے لیے

زندگی اپنی تھی گویا لمحۂ فرقت کا طول

کچھ مزے ہم نے بھی عمر جاودانی کے لیے

میں بھلا ٹھنڈی ہوا سے کیا الجھتا چپ رہا

پھول کی خوش بو بہت تھی سرگرانی کے لیے

ٹوٹ پڑتی تھیں گھٹائیں جن کی آنکھیں دیکھ کر

وہ بھری برسات میں ترسے ہیں پانی کے لیے

راکھ ارمانوں کی گیلی لکڑیاں احساس کی

ہم کو یہ ساماں ملے شعلہ بیانی کے لیے

شمع ہو فانوس سے باہر تو گل ہو جائے گی

بندش الفاظ مت توڑو معانی کے لیے

دو کنارے ہوں تو سیل زندگی دریا بنے

ایک حد لازم ہے پانی کی روانی کے لیے

آج کیوں چپ چپ ہو باقرؔ تم کبھی مشہور تھے

دوستوں یاروں میں اپنی خوش بیانی کے لیے

سجاد باقر رضوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Lafz Jab Koi Na Hath Aaya Maani Ke Liye

Sajjad Baqar Rizvi

lafz jab koi na hath aaya maani ke liye
kya maze hum ne zaban-e-be-zabani ke liye

ye do-raha hai chalo tum rang-o-bu ki khoj mein
hum chale sahra-e-dil ki baghbani ke liye

zindagi apni thi goya lamha-e-furqat ka tul
kuchh maze hum ne bhi umr-e-jawedani ke liye

main bhala ThanDi hawa se kya ulajhta chup raha
phul ki KHush-bu bahut thi sargirani ke liye

TuT paDti thin ghaTaen jin ki aankhen dekh kar
wo bhari barsat mein tarse hain pani ke liye

rakh armanon ki gili lakDiyan ehsas ki
hum ko ye saman mile shoala-bayani ke liye

shama ho fanus se bahar to gul ho jaegi
bandish-e-alfaz mat toDo maani ke liye

do kinare hon to sail-e-znidagi dariya bane
ek had lazim hai pani ki rawani ke liye

aaj kyun chup chup ho 'baqar' tum kabhi mashhur the
doston yaron mein apni KHush-bayani ke liye

(530) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Lafz Jab Koi Na Hath Aaya Maani Ke Liye written by Sajjad Baqar Rizvi at UrduPoint. Lafz Jab Koi Na Hath Aaya Maani Ke Liye is one of the masterpieces written by Sajjad Baqar Rizvi. You can also find the complete poetry collection of Sajjad Baqar Rizvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sajjad Baqar Rizvi' above.

Lafz Jab Koi Na Hath Aaya Maani Ke Liye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Lafz Jab Koi Na Hath Aaya Maani Ke Liye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.