Jahan Mein Rah Ke Bhi Hum Kab Jahan Mein Rahte Hain, Urdu Ghazal By Sajjad Baqar Rizvi

Jahan Mein Rah Ke Bhi Hum Kab Jahan Mein Rahte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sajjad Baqar Rizvi. Jahan Mein Rah Ke Bhi Hum Kab Jahan Mein Rahte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jahan Mein Rah Ke Bhi Hum Kab Jahan Mein Rahte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جہاں میں رہ کے بھی ہم کب جہاں میں رہتے ہیں

سجاد باقر رضوی

جہاں میں رہ کے بھی ہم کب جہاں میں رہتے ہیں

مکاں کو چھوڑ چکے ہیں زماں میں رہتے ہیں

ترے خیال میں اپنا گزر نہیں ہوتا

جو دل سے گر گئے وہم و گماں میں رہتے ہیں

چھٹے غبار تو نام و نشاں ہمارا ملے

کہ ہم تو گرد پس کارواں میں رہتے ہیں

جو خار ہیں وہ کھٹکتے ہیں چشم اعدا میں

جو پھول ہیں وہ دل دوستاں میں رہتے ہیں

شگفت جاں کے لئے کھینچ رنج محرومی

بہار کے سبھی موسم خزاں میں رہتے ہیں

نہیں جو وہ تو در و بام کی فضا سے ملو

مکیں کے رنگ طبیعت مکاں میں رہتے ہیں

ہم اپنی آگ کو پانی میں ڈھالنے کے لئے

طلسم کاریٔ آہ و فغاں میں رہتے ہیں

عروج عشق یہ دیکھا کہ تیرے دیوانے

زمیں پہ چلتے ہیں اور آسماں میں رہتے ہیں

کتاب حال میں باقرؔ کو ڈھونڈتے ہو عبث

سنا ہے دل کی کسی داستاں میں رہتے ہیں

سجاد باقر رضوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jahan Mein Rah Ke Bhi Hum Kab Jahan Mein Rahte Hain

Sajjad Baqar Rizvi

jahan mein rah ke bhi hum kab jahan mein rahte hain
makan ko chhoD chuke hain zaman mein rahte hain

tere KHayal mein apna guzar nahin hota
jo dil se gir gae wahm-o-guman mein rahte hain

chhaTe ghubar to nam-o-nishan hamara mile
ki hum to gard-e-pas-e-karwan mein rahte hain

jo KHar hain wo khaTakte hain chashm-e-ada mein
jo phul hain wo dil-e-dostan mein rahte hain

shaguft-e-jaan ke liye khinch ranj-e-mahrumi
bahaar ke sabhi mausam KHizan mein rahte hain

nahin jo wo to dar-o-baam ki faza se milo
makin ke rang-e-tabiat makan mein rahte hain

hum apni aag ko pani mein Dhaalne ke liye
tilism-kari-e-ah-o-fughan mein rahte hain

uruj-e-ishq ye dekha ki tere diwane
zamin pe chalte hain aur aasman mein rahte hain

kitab-e-haal mein 'baqar' ko DhunDte ho abas
suna hai dil ki kisi dastan mein rahte hain

(381) ووٹ وصول ہوئے

You can read Jahan Mein Rah Ke Bhi Hum Kab Jahan Mein Rahte Hain written by Sajjad Baqar Rizvi at UrduPoint. Jahan Mein Rah Ke Bhi Hum Kab Jahan Mein Rahte Hain is one of the masterpieces written by Sajjad Baqar Rizvi. You can also find the complete poetry collection of Sajjad Baqar Rizvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sajjad Baqar Rizvi' above.

Jahan Mein Rah Ke Bhi Hum Kab Jahan Mein Rahte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jahan Mein Rah Ke Bhi Hum Kab Jahan Mein Rahte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.