Shuur De Ke Mujhe Baal-o-par Nahin Deta, Urdu Ghazal By Sajjad Haider

Shuur De Ke Mujhe Baal-o-par Nahin Deta is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sajjad Haider. Shuur De Ke Mujhe Baal-o-par Nahin Deta comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shuur De Ke Mujhe Baal-o-par Nahin Deta on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شعور دے کے مجھے بال و پر نہیں دیتا

سجاد حیدر

شعور دے کے مجھے بال و پر نہیں دیتا

سفر کا کہتا ہے زاد سفر نہیں دیتا

یہ کون مجھ کو مری ذات سے چھپاتا ہے

یہ کون مجھ کو ہی میری خبر نہیں دیتا

نشان منزل مقصود تو بتاتا ہے

کسی بھی طور وہ اذن سفر نہیں دیتا

زمانہ گو مجھے مائل بہ جنگ کرتا ہے

مگر یہ تیغ و سنان و سپر نہیں دیتا

ستم تو جو بھی کرے تجھ کو ہے روا لیکن

مرا ضمیر مجھے یہ ہنر نہیں دیتا

مبادا لوٹ کے آؤں کوئی نہ پہچانے

نکلنے گھر سے یہ سجادؔ ڈر نہیں دیتا

سجاد حیدر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shuur De Ke Mujhe Baal-o-par Nahin Deta

Sajjad Haider

shuur de ke mujhe baal-o-par nahin deta
safar ka kahta hai zad-e-safar nahin deta

ye kaun mujh ko meri zat se chhupata hai
ye kaun mujh ko hi meri KHabar nahin deta

nishan-e-manzil-e-maqsud to batata hai
kisi bhi taur wo izn-e-safar nahin deta

zamana go mujhe mail-ba-jang karta hai
magar ye tegh-o-sinan-o-sipar nahin deta

sitam to jo bhi kare tujh ko hai rawa lekin
mera zamir mujhe ye hunar nahin deta

mabaada lauT ke aaun koi na pahchane
nikalne ghar se ye 'sajjad' Dar nahin deta

(251) ووٹ وصول ہوئے

You can read Shuur De Ke Mujhe Baal-o-par Nahin Deta written by Sajjad Haider at UrduPoint. Shuur De Ke Mujhe Baal-o-par Nahin Deta is one of the masterpieces written by Sajjad Haider. You can also find the complete poetry collection of Sajjad Haider by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sajjad Haider' above.

Shuur De Ke Mujhe Baal-o-par Nahin Deta is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shuur De Ke Mujhe Baal-o-par Nahin Deta, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.