Sawalon Ki Zanjir, Urdu Nazam By Saleem Ur Rahman

Sawalon Ki Zanjir is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Saleem Ur Rahman. Sawalon Ki Zanjir comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Sawalon Ki Zanjir on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سوالوں کی زنجیر

سلیم الرحمن

بول اے میری کتاب

تیرا چہرہ چومتا ہوں

تیرے ماتھے کے سکوں میں ڈھونڈھتا ہوں آج پھر قسمت کا نقش

کھولتا ہوں کانپتے ہاتھوں سے صحراؤں کا دروازہ پرانا

جن کی اجلی ریت میں اگتے ہوئے موتی

ہزاروں چاند تارے آفتاب

مدتوں سے ایک لمحے کے سکوں میں کھو گئے

ٹھہرے ہوئے ہیں

ایک انگلی کے اشارے کے لئے

میں مگر اس سانس کی زنجیر میں ہوں

موت کی مٹی مرا یہ جسم میں اس کی سزا

کون سے لفظوں پہ رکھوں ہاتھ

جس سے صبح کی تحریر روشن ہو مری آنکھیں کھلیں

خوشبو ملے مجھ کو ہوا کی جو پرانے غار میں پیدا ہوئی

کس طرح گزرے یہ میرے دکھ کے موسم کا عذاب

بول اے میری کتاب

سلیم الرحمن

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sawalon Ki Zanjir

Saleem Ur Rahman

bol ai meri kitab
tera chehra chumta hun
tere mathe ke sukun mein DhunDhta hun aaj phir qismat ka naqsh
kholta hun kanpte hathon se sahraon ka darwaza purana
jin ki ujli ret mein ugte hue moti
hazaron chand tare aaftab
muddaton se ek lamhe ke sukun mein kho gae
Thahre hue hain
ek ungli ke ishaare ke liye
main magar is sans ki zanjir mein hun
maut ki miTTi mera ye jism main is ki saza
kaun se lafzon pe rakkhun hath
jis se subh ki tahrir raushan ho meri aankhen khulen
KHushbu mile mujh ko hawa ki jo purane ghaar mein paida hui
kis tarah guzre ye mere dukh ke mausam ka azab
bol ai meri kitab

(319) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sawalon Ki Zanjir written by Saleem Ur Rahman at UrduPoint. Sawalon Ki Zanjir is one of the masterpieces written by Saleem Ur Rahman. You can also find the complete poetry collection of Saleem Ur Rahman by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saleem Ur Rahman' above.

Sawalon Ki Zanjir is a widely read Urdu Nazam. If you like Sawalon Ki Zanjir, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.