Na To Tare Bujhen Pal Bhar Na Din Mein Chand Chhupta Hai, Urdu Ghazal By Sandeep Thakur

Na To Tare Bujhen Pal Bhar Na Din Mein Chand Chhupta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sandeep Thakur. Na To Tare Bujhen Pal Bhar Na Din Mein Chand Chhupta Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na To Tare Bujhen Pal Bhar Na Din Mein Chand Chhupta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ تو تارے بجھیں پل بھر نہ دن میں چاند چھپتا ہے

سندیپ ٹھاکر

نہ تو تارے بجھیں پل بھر نہ دن میں چاند چھپتا ہے

عجب دنیا ہے دل کی رات بھر سورج بھی چمکا ہے

زمیں اشکوں سے دل کی بھیگتی ہے تب کہیں جا کر

لبوں پہ مسکراہٹ کا بسنتی پھول کھلتا ہے

لئے یہ فرصتوں کی ریشمی چھتری مجھے ملنے

جھجکتی بوندا باندی سا چھتوں پہ کون آیا ہے

بدن کی وادیوں میں گم کہیں ہو جاتی ہے دھڑکن

کبھی پربت سے دل کے یاد کا جب جھرنا گرتا ہے

کھلونوں کی دکانوں پہ قدم رک جاتے ہیں اب بھی

مرے دل کے کسی کونے میں بچپن چھپ کے بیٹھا ہے

اگر خوشبو ملاقاتوں کی سانسوں میں نہیں تو کیا

میرے دل میں کسی کی یاد کا چندن مہکتا ہے

دسمبر کی ٹھٹھری رات میں اس پیڑ کے نیچے

لپیٹے یاد کا کمبل اکیلا کون بیٹھا ہے

پرانے موسموں کی گرد بہہ جاتی ہے پانی میں

کبھی جب تیز جھرنوں میں پرندہ پنکھ دھوتا ہے

سندیپ ٹھاکر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na To Tare Bujhen Pal Bhar Na Din Mein Chand Chhupta Hai

Sandeep Thakur

na to tare bujhen pal bhar na din mein chand chhupta hai
ajab duniya hai dil ki raat bhar suraj bhi chamka hai

zamin ashkon se dil ki bhigti hai tab kahin ja kar
labon pe muskurahaT ka basanti phul khilta hai

liye ye fursaton ki reshmi chhatri mujhe milne
jhijakti bunda-bandi sa chhaton pe kaun aaya hai

badan ki wadiyon mein gum kahin ho jati hai dhaDkan
kabhi parwat se dil ke yaad ka jab jharna girta hai

khilaunon ki dukanon pe qadam ruk jate hain ab bhi
mere dil ke kisi kone mein bachpan chhup ke baiTha hai

agar KHushbu mulaqaton ki sanson mein nahin to kya
mere dil mein kisi ki yaad ka chandan mahakta hai

december ki ThiThuri raat mein us peD ke niche
lapeTe yaad ka kambal akela kaun baiTha hai

purane mausamon ki gard bah jati hai pani mein
kabhi jab tez jharnon mein parinda pankh dhota hai

(623) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na To Tare Bujhen Pal Bhar Na Din Mein Chand Chhupta Hai written by Sandeep Thakur at UrduPoint. Na To Tare Bujhen Pal Bhar Na Din Mein Chand Chhupta Hai is one of the masterpieces written by Sandeep Thakur. You can also find the complete poetry collection of Sandeep Thakur by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sandeep Thakur' above.

Na To Tare Bujhen Pal Bhar Na Din Mein Chand Chhupta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na To Tare Bujhen Pal Bhar Na Din Mein Chand Chhupta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.