Main Ro Raha Hun Jo Dil Ko To Bekasi Ke Liye, Urdu Ghazal By Saqib Lakhnavi

Main Ro Raha Hun Jo Dil Ko To Bekasi Ke Liye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saqib Lakhnavi. Main Ro Raha Hun Jo Dil Ko To Bekasi Ke Liye comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Main Ro Raha Hun Jo Dil Ko To Bekasi Ke Liye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں رو رہا ہوں جو دل کو تو بیکسی کے لئے

ثاقب لکھنوی

میں رو رہا ہوں جو دل کو تو بیکسی کے لئے

وگر نہ موت تو دنیا میں ہے سبھی کے لئے

شب فراق کی روزانہ آفتیں توبہ

یہ امتحان تو ہوتا کبھی کبھی کے لئے

بہت سی عمر مٹا کر جسے بنایا تھا

مکاں وہ جل گیا تھوڑی سی روشنی کے لئے

وسیع بزم جہاں ہے تو ہو مجھے کیا کام

جگہ ملی نہ مری حسرت دلی کے لئے

یہ اور دامن قاتل ہے چھوٹ جائے گا

لہو میں جوش تو برسوں سے تھا اسی کے لئے

نہ آنکھ بند کروں میں تو کیا کروں یا رب

وہ آ رہے ہیں تماشائے جانکنی کے لئے

بلا کے مجھ کو نکالا ہے اپنی محفل سے

وہ نیکیاں نہیں اچھی ہیں جو ہو بدی کے لئے

قفس میں آج تماشائے‌‌ غم ہے قابل دید

تڑپ رہا ہوں میں صیاد کی خوشی کے لئے

تمام ہو گئے ہم اک نگاہ قاتل سے

رگیں گلے کی تڑپتی رہیں چھری کے لئے

فروغ حسن بڑھا دل کی بے نوائی سے

فقیر ہو گیا شان تونگری کے لئے

قفس میں چپ نہ ہوں تو کیا کروں کہ یہ قیدی

نہ دوستی کے لئے ہے نہ دشمنی کے لئے

تمام بزم میں چھایا ہوا ہے سناٹا

چھڑا تھا قصۂ دل ان کی دل لگی کے لئے

شکایت‌ چمن دہر کیا کروں ثاقبؔ

ہوا خلاف ہے لیکن کسی کسی کے لئے

ثاقب لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main Ro Raha Hun Jo Dil Ko To Bekasi Ke Liye

Saqib Lakhnavi

main ro raha hun jo dil ko to bekasi ke liye
wagar na maut to duniya mein hai sabhi ke liye

shab-e-firaq ki rozana aafaten tauba
ye imtihan to hota kabhi kabhi ke liye

bahut si umr miTa kar jise banaya tha
makan wo jal gaya thoDi si raushni ke liye

wasia bazm-e-jahan hai to ho mujhe kya kaam
jagah mili na meri hasrat-dili ke liye

ye aur daman-e-qatil hai chhuT jaega
lahu mein josh to barson se tha isi ke liye

na aankh band karun main to kya karun yarab
wo aa rahe hain tamasha-e-jaan-kani ke liye

bula ke mujh ko nikala hai apni mahfil se
wo nekiyan nahin achchhi hain jo ho badi ke liye

qafas mein aaj tamasha-e-gham hai qabil-e-did
taDap raha hun main sayyaad ki KHushi ke liye

tamam ho gae hum ek nigah-e-qatil se
ragen gale ki taDapti rahin chhuri ke liye

farogh-e-husn baDha dil ki be-nawai se
faqir ho gaya shan-e-tawangari ke liye

qafas mein chup na hon to kya karun ki ye qaidi
na dosti ke liye hai na dushmani ke liye

tamam bazm mein chhaya hua hai sannaTa
chhuDa tha qissa-e-dil un ki dil-lagi ke liye

shikayat-e-chaman-e-dahr kya karun 'saqib'
hawa KHilaf hai lekin kisi kisi ke liye

(474) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Main Ro Raha Hun Jo Dil Ko To Bekasi Ke Liye written by Saqib Lakhnavi at UrduPoint. Main Ro Raha Hun Jo Dil Ko To Bekasi Ke Liye is one of the masterpieces written by Saqib Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Saqib Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saqib Lakhnavi' above.

Main Ro Raha Hun Jo Dil Ko To Bekasi Ke Liye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Main Ro Raha Hun Jo Dil Ko To Bekasi Ke Liye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.