Takalluf Hai Murad-e-dil Ka Dil Par Bar Ho Jaana, Urdu Ghazal By Saqib Lakhnavi

Takalluf Hai Murad-e-dil Ka Dil Par Bar Ho Jaana is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saqib Lakhnavi. Takalluf Hai Murad-e-dil Ka Dil Par Bar Ho Jaana comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Takalluf Hai Murad-e-dil Ka Dil Par Bar Ho Jaana on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تکلف ہے مراد دل کا دل پر بار ہو جانا

ثاقب لکھنوی

تکلف ہے مراد دل کا دل پر بار ہو جانا

محبت کیا ہے مرنے کے لئے تیار ہو جانا

نہ کام آیا ان آہوں کا فلک کے پار ہو جانا

مرے سونے سے مشکل تھا ترا بیدار ہو جانا

نظر ملتے ہی ان سے آ گیا سارا اثر دل میں

اسے آتا نہ تھا پہلے کبھی بیمار ہو جانا

وفا کا راہبر ہے تودۂ خاکی کی جان اس کو

کماں کش دل ہے آگے اک ذرا ہشیار ہو جانا

یہ طوفاں اشک کا کم ہو تو سمجھوں ڈوب کر ابھرا

اسی مطلب کو سب کہتے ہیں بیڑا پار ہو جانا

تہ شمشیر جائے‌‌ مردم دیدہ ہے دیکھ اے دل

یوں ہی تو بھی اسی دن کے لئے تیار ہو جانا

ذرا سی اک نگاہ عشق میں آنکھوں سے گرتا ہے

بہت آسان ہے انسان کا بیکار ہو جانا

دل صیاد سے شکوہ کروں کیا سہل ہے اس کو

عدو پھولوں کا ہو کر ہمزیان خار ہو جانا

ہوا جو کچھ ہوا ممنون ہوں صہبائے غفلت کا

قفس میں آ کے اب بیکار ہے ہشیار ہو جانا

یہ کیسی ناتوانی ہے کہ دل محسوس کرتا ہے

مرے کاندھوں پہ خود میرے ہی سر کا بار ہو جانا

نظر کو ایک جنبش اور دے اے دیکھنے والے

اشارے پر ہے ان زخموں کا دامن دار ہو جانا

بہم ہیں بے حسی و حس کہ دل کو خواب آتا ہے

کبھی شق ہو کے در ہونا کبھی دیوار ہو جانا

تمہارے زعم میں رہرو کا رستے سے گزرنا ہے

کسی چھوٹے ہوئے ناوک کا دل کے پار ہو جانا

ترا آوازۂ حسن سخن اچھا نہیں ثاقبؔ

نظر پڑتی ہے تجھ پر اک ذرا ہشیار ہو جانا

ثاقب لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Takalluf Hai Murad-e-dil Ka Dil Par Bar Ho Jaana

Saqib Lakhnavi

takalluf hai murad-e-dil ka dil par bar ho jaana
mohabbat kya hai marne ke liye tayyar ho jaana

na kaam aaya un aahon ka falak ke par ho jaana
mere sone se mushkil tha tera bedar ho jaana

nazar milte hi un se aa gaya sara asar dil mein
use aata na tha pahle kabhi bimar ho jaana

wafa ka rahbar hai tuda-e-KHaki ki jaan us ko
kaman-kash dil hai aage ek zara hushiyar ho jaana

ye tufan ashk ka kam ho to samjhun Dub kar ubhra
isi matlab ko sab kahte hain beDa par ho jaana

tah-e-shamshir ja-e-mardum-e-did hai dekh ai dil
yunhi tu bhi usi din ke liye tayyar ho jaana

zara si ek nigah-e-ishq mein aankhon se girta hai
bahut aasan hai insan ka be-kar ho jaana

dil-e-sayyaad se shikwa karun kya sahal hai is ko
adu phulon ka ho kar ham-ziyan-e-KHar ho jaana

hua jo kuchh hua mamnun hun sahba-e-ghaflat ka
qafas mein aa ke ab be-kar hai hushiyar ho jaana

ye kaisi na-tawani hai ki dil mahsus karta hai
mere kandhon pe KHud mere hi sar ka bar ho jaana

nazar ko ek jumbish aur de ai dekhne wale
ishaare par hai in zaKHmon ka damn-dar ho jaana

baham hain be-hisi-o-his ki dil ko KHwab aata hai
kabhi shaq ho ke dar hona kabhi diwar ho jaana

tumhaare zoam mein rahraw ka raste se guzarna hai
kisi chhuTe hue nawak ka dil ke par ho jaana

tera aawaza-e-husn-e-suKHan achchha nahin 'saqib'
nazar paDti hai tujh par ek zara hushyar ho jaana

(890) ووٹ وصول ہوئے

You can read Takalluf Hai Murad-e-dil Ka Dil Par Bar Ho Jaana written by Saqib Lakhnavi at UrduPoint. Takalluf Hai Murad-e-dil Ka Dil Par Bar Ho Jaana is one of the masterpieces written by Saqib Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Saqib Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saqib Lakhnavi' above.

Takalluf Hai Murad-e-dil Ka Dil Par Bar Ho Jaana is a widely read Urdu Ghazal. If you like Takalluf Hai Murad-e-dil Ka Dil Par Bar Ho Jaana, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.