KHazane Ka Sanp, Urdu Nazam By Sardar Naqwi

KHazane Ka Sanp is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Sardar Naqwi. KHazane Ka Sanp comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read KHazane Ka Sanp on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خزانے کا سانپ

سردار نقوی

میری ماں نے مجھے بتایا ہے

اگلے وقتوں کے صاحبان دول

جو خداوند کی مشیت سے

عمر بھر لا ولد رہا کرتے

یہ عجب کار خیر فرماتے

اپنی دولت کو ایک برتن میں

بند کر کے کہیں دبا دیتے

اس پہ آٹے یا چکنی مٹی کا

سانپ ضامن بنا کے رکھ دیتے

تاکہ آئندہ کوئی شخص اگر

ان کی دولت کی سمت آنکھ اٹھائے

یہ خزانے کا سانپ لہرا کر

اس کی اولاد بھینٹ میں چاہے

لوگ اولاد بھینٹ دیتے تھے

اور یہ مال کھود لیتے تھے

میری ماں نے مجھے بتایا ہے

میرے ناپختہ گھر کے آنگن میں

ایسا ہی مال دفن تھا شاید

اور یہ مال یوں ہی دفن رہا

یا کسی اور گھر میں جا پہنچا

میری ماں نے مجھے نہ بھینٹ دیا

اور وہ مال ہاتھ سے کھویا

میری ماں بھی عجیب عورت ہے

اپنی ماں سے یہ واقعہ سن کر

پہلے مجھ کو یقیں نہ آتا تھا

میں نے افسانہ اس کو سمجھا تھا

پر یہ افسانہ اک حقیقت تھا

پر یہ افسانہ اک حقیقت ہے

میں نے شاداب کھیتیاں دیکھیں

میں نے مل دیکھے بنک بھی دیکھے

میں نے دیکھا کہ مال و دولت کے

ہر خزانے پہ ہر جگہ ہر پل

اک نہ اک سانپ بیٹھا رہتا ہے

سردار نقوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHazane Ka Sanp

Sardar Naqwi

meri man ne mujhe bataya hai
agle waqton ke sahiban-e-duwal
jo KHudawand ki mashiyyat se
umr bhar la-walad raha karte
ye ajab kar-e-KHair farmate
apni daulat ko ek bartan mein
band kar ke kahin daba dete
us pe aaTe ya chikni miTTi ka
sanp zamin bana ke rakh dete
taki aainda koi shaKHs agar
un ki daulat ki samt aankh uThae
ye KHazane ka sanp lahra kar
us ki aulad bhenT mein chahe
log aulad bhenT dete the
aur ye mal khod lete the

meri man ne mujhe bataya hai
mere na-puKHta ghar ke aangan mein
aisa hi mal dafn tha shayad
aur ye mal yunhi dafn raha
ya kisi aur ghar mein ja pahuncha
meri man ne mujhe na bhenT diya
aur wo mal hath se khoya
meri man bhi ajib aurat hai

apni man se ye waqia sun kar
pahle mujh ko yaqin na aata tha
main ne afsana us ko samjha tha
par ye afsana ek haqiqat tha

par ye afsana ek haqiqat hai
main ne shadab khetiyan dekhin
main ne mill dekhe bank bhi dekhe
main ne dekha ki mal-o-daulat ke
har KHazane pe har jagah har pal
ek na ek sanp baiTha rahta hai

(382) ووٹ وصول ہوئے

You can read KHazane Ka Sanp written by Sardar Naqwi at UrduPoint. KHazane Ka Sanp is one of the masterpieces written by Sardar Naqwi. You can also find the complete poetry collection of Sardar Naqwi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sardar Naqwi' above.

KHazane Ka Sanp is a widely read Urdu Nazam. If you like KHazane Ka Sanp, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.