Aisa Nahin Ki Tujhse Shikayat Nahin Mujhe, Urdu Ghazal By Sarfaraz Khan Azmi

Aisa Nahin Ki Tujhse Shikayat Nahin Mujhe is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sarfaraz Khan Azmi. Aisa Nahin Ki Tujhse Shikayat Nahin Mujhe comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aisa Nahin Ki Tujhse Shikayat Nahin Mujhe on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ایسا نہیں کہ تجھ سے شکایت نہیں مجھے

سرفراز خان اعظمی

ایسا نہیں کہ تجھ سے شکایت نہیں مجھے

خود کو گنوا کے تیری ضرورت نہیں مجھے

اس ڈگمگاتی ناؤ پہ ساحل کی آرزو

آئی سمجھ میں اب بھی سیاست نہیں مجھے

پتھراؤ ہو رہا ہے مری سمت اس لیے

کہتا ہوں سچ کہ جھوٹ کی عادت نہیں مجھے

اب میں جو ملتجی ہوں تو وہ ملتفت نہیں

کہتے ہیں بار بار کہ فرصت نہیں مجھے

کچھ مجھ میں بزدلی کے عناصر ضرور ہیں

اس سے مراد اپنی شرافت نہیں مجھے

بہلا رہا ہوں خود کو غم روزگار سے

کیا اب جنون شوق و محبت نہیں مجھے

سب کچھ مفارقت کی رعایت سے کہہ دیے

کہتے تھے جو کہ صبر و قناعت نہیں مجھے

مطلب پرست لوگوں میں گزری ہے ایک عمر

بے جا کرم پہ آپ کے حیرت نہیں مجھے

مکر و فریب و طعنہ و تہمت سے دور ہوں

مشہور یہ ہے خواہش جنت نہیں مجھے

ملتا ہوں اک توارد خاطر کو شانہ کش

مقصود اس سے دل کی حفاظت نہیں مجھے

شمع امید وصل منور ہے سرفرازؔ

طول شب فراق سے وحشت نہیں مجھے

سرفراز خان اعظمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aisa Nahin Ki Tujhse Shikayat Nahin Mujhe

Sarfaraz Khan Azmi

aisa nahin ki tujh se shikayat nahin mujhe
KHud ko ganwa ke teri zarurat nahin mujhe

is Dagmagati naw pe sahil ki aarzu
aai samajh mein ab bhi siyasat nahin mujhe

pathraw ho raha hai meri samt is liye
kahta hun sach ki jhuT ki aadat nahin mujhe

ab main jo multaji hun to wo multafit nahin
kahte hain bar bar ki fursat nahin mujhe

kuchh mujh mein buzdili ke anasir zarur hain
is se murad apni sharafat nahin mujhe

bahla raha hun KHud ko gham-e-rozgar se
kya ab junun-e-shauq-o-mohabbat nahin mujhe

sab kuchh mafariqat ki riayat se kah diye
kahte the jo ki sabr-o-qanaat nahin mujhe

matlab-parast logon mein guzri hai ek umr
beja karam pe aap ke hairat nahin mujhe

makr-o-fareb-o-tana-o-tohmat se dur hun
mashhur ye hai KHwahish-e-jannat nahin mujhe

milta hun ek tawarud-e-KHatir ko shana-kash
maqsud is se dil ki hifazat nahin mujhe

shama-e-umid-e-wasl munawwar hai 'sarfaraaz'
tul-e-shab-e-firaq se wahshat nahin mujhe

(559) ووٹ وصول ہوئے

You can read Aisa Nahin Ki Tujhse Shikayat Nahin Mujhe written by Sarfaraz Khan Azmi at UrduPoint. Aisa Nahin Ki Tujhse Shikayat Nahin Mujhe is one of the masterpieces written by Sarfaraz Khan Azmi. You can also find the complete poetry collection of Sarfaraz Khan Azmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sarfaraz Khan Azmi' above.

Aisa Nahin Ki Tujhse Shikayat Nahin Mujhe is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aisa Nahin Ki Tujhse Shikayat Nahin Mujhe, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.