Koi Model Na Koi Ideal Chahiye Hai, Urdu Ghazal By Sarfaraz Khan Azmi

Koi Model Na Koi Ideal Chahiye Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sarfaraz Khan Azmi. Koi Model Na Koi Ideal Chahiye Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Koi Model Na Koi Ideal Chahiye Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کوئی ماڈل نہ کوئی آئیڈیل چاہیے ہے

سرفراز خان اعظمی

کوئی ماڈل نہ کوئی آئیڈیل چاہیے ہے

آج بھی چاہیے تو ہی مجھے کل چاہیے ہے

قید کر بانہوں میں پھر زلف کو زنجیر بنا

اب کوئی کاٹ کپٹ اور نہ چھل چاہیے ہے

میری غفلت ہے ترے حسن مجسم کا زوال

مجھ کو تنہائی میں پر نور خلل چاہیے ہے

ایک مدت سے میں محبوس ہوں اپنے اندر

دم گھٹا جاتا ہے کچھ رد و بدل چاہیے ہے

وقت کا کوئی تقاضا نظر انداز نہیں

دل بضد ہے اسے حیرانی کا حل چاہیے ہے

روٹیاں سینکنے بیٹھے ہیں سیاست والے

ان کو تو برق و شرر رقص اجل چاہیے ہے

ایستادہ ہیں گلستاں میں بہائم ہر سو

طائرو غل کرو یہ نیک عمل چاہیے ہے

ان کو ماحول کی سنگینی کا احساس نہیں

جو یہ کہتے ہیں کہ رنگین غزل چاہیے ہے

عزت نفس کا مشکل ہے تحفظ یعنی

ایک فرقے کو یہاں جنگ و جدل چاہیے ہے

سرفرازؔ اب وہی ہٹ دھرم قلعے کا غاصب

کہہ رہا ہے کہ اسے تاج محل چاہیے ہے

سرفراز خان اعظمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Koi Model Na Koi Ideal Chahiye Hai

Sarfaraz Khan Azmi

koi model na koi ideal chahiye hai
aaj bhi chahiye tu hi mujhe kal chahiye hai

qaid kar banhon mein phir zulf ko zanjir bana
ab koi kaT-kapaT aur na chhal chahiye hai

meri ghaflat hai tere husn-e-mujassam ka zawal
mujh ko tanhai mein pur-nur KHalal chahiye hai

ek muddat se main mahbus hun apne andar
dam ghuTa jata hai kuchh radd-o-badal chahiye hai

waqt ka koi taqaza nazar-andaz nahin
dil ba-zid hai use hairani ka hal chahiye hai

roTiyan senkne baiThe hain siyasat wale
un ko to barq-o-sharar raqs-e-ajal chahiye hai

istada hain gulistan mein bahaim har su
tairo ghul karo ye nek amal chahiye hai

in ko mahaul ki sangini ka ehsas nahin
jo ye kahte hain ki rangin ghazal chahiye hai

izzat-e-nafs ka mushkil hai tahaffuz yani
ek firqe ko yahan jang-o-jadal chahiye hai

'sarfaraaz' ab wahi haT-dharm qile ka ghasib
kah raha hai ki use taj-mahal chahiye hai

(406) ووٹ وصول ہوئے

You can read Koi Model Na Koi Ideal Chahiye Hai written by Sarfaraz Khan Azmi at UrduPoint. Koi Model Na Koi Ideal Chahiye Hai is one of the masterpieces written by Sarfaraz Khan Azmi. You can also find the complete poetry collection of Sarfaraz Khan Azmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sarfaraz Khan Azmi' above.

Koi Model Na Koi Ideal Chahiye Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Koi Model Na Koi Ideal Chahiye Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.