Firqa-kashi Ka Koi Bhi Matlab Dikhaiye, Urdu Ghazal By Sarfaraz Khan Azmi

Firqa-kashi Ka Koi Bhi Matlab Dikhaiye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sarfaraz Khan Azmi. Firqa-kashi Ka Koi Bhi Matlab Dikhaiye comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Firqa-kashi Ka Koi Bhi Matlab Dikhaiye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

فرقہ کشی کا کوئی بھی مطلب دکھائیے

سرفراز خان اعظمی

فرقہ کشی کا کوئی بھی مطلب دکھائیے

غارت گروں کا ایک ہی مذہب دکھائیے

ملی حقیقتوں پہ ہے پردا پڑا ہوا

فکر و نظر کا آپ ہی کوکب دکھائیے

قدریں خلوص کی ہیں پراگندہ کم ابھی

رتبے کی دھونس دیجیے منصب دکھائیے

رہ جائیں دانت پیس کے پیر و جواں تمام

اتنا نہ خود کو غیر مہذب دکھائیے

تجدید کیجے اہل تذبذب یقین کی

کہتا ہے وقت اب کوئی کرتب دکھائیے

ذہنی مرض پہ تلخ دوا کیوں حکیم جی

شیریں ہے کوئی نسخہ مجرب دکھائیے

جدت طرازیوں میں نظر آئے غم کا رنگ

اتنے مواد کر کے مرکب دکھائیے

عاشق مزاج لوگوں میں کچھ من چلے بھی ہیں

آنکھیں دکھا کے سب کو نہ یوں لب دکھائیے

پتلے خطا کے ویسے تو ہیں مستند شریف

بہتر یہی ہے حسن نہ بے ڈھب دکھائیے

منہ پھیرتے ہیں دیکھ کے منہ سرفرازؔ وہ

کس دل سے دل کے داغ انہیں اب دکھائیے

سرفراز خان اعظمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Firqa-kashi Ka Koi Bhi Matlab Dikhaiye

Sarfaraz Khan Azmi

firqa-kashi ka koi bhi matlab dikhaiye
ghaarat-garon ka ek hi mazhab dikhaiye

mili haqiqaton pe hai parda paDa hua
fikr-o-nazar ka aap hi kaukab dikhaiye

qadren KHulus ki hain paraganda kam abhi
rutbe ki dhons dijiye mansab dikhaiye

rah jaen dant pis ke pir-o-jawan tamam
itna na KHud ko ghair-mohazzab dikhaiye

tajdid kije ahl-e-tazabzub yaqin ki
kahta hai waqt ab koi kartab dikhaiye

zehni maraz pe talKH dawa kyon hakim ji
shirin hai koi nusKHa mujarrab dikhaiye

jiddat-taraaziyon mein nazar aae gham ka rang
itne mawad kar ke murakkab dikhaiye

aashiq-mizaj logon mein kuchh man-chale bhi hain
aankhen dikha ke sab ko na yun lab dikhaiye

putle KHata ke waise to hain mustanad sharif
behtar yahi hai husn na be-Dhab dikhaiye

munh pherte hain dekh ke munh 'sarfaraaz' wo
kis dil se dil ke dagh unhen ab dikhaiye

(486) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Firqa-kashi Ka Koi Bhi Matlab Dikhaiye written by Sarfaraz Khan Azmi at UrduPoint. Firqa-kashi Ka Koi Bhi Matlab Dikhaiye is one of the masterpieces written by Sarfaraz Khan Azmi. You can also find the complete poetry collection of Sarfaraz Khan Azmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sarfaraz Khan Azmi' above.

Firqa-kashi Ka Koi Bhi Matlab Dikhaiye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Firqa-kashi Ka Koi Bhi Matlab Dikhaiye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.