Munafa Mushtarak Hai Aur KHasare Ek Jaise Hain, Urdu Ghazal By Sarfaraz Shahid

Munafa Mushtarak Hai Aur KHasare Ek Jaise Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sarfaraz Shahid. Munafa Mushtarak Hai Aur KHasare Ek Jaise Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Munafa Mushtarak Hai Aur KHasare Ek Jaise Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

منافع مشترک ہے اور خسارے ایک جیسے ہیں

سرفراز شاہد

منافع مشترک ہے اور خسارے ایک جیسے ہیں

کہ ہم دونوں کی قسمت کے ستارے ایک جیسے ہیں

میں اک چھوٹا سا افسر ہوں وہ اک موٹا سا ''مل اونر''

مگر دونوں کے انکم گوشوارے ایک جیسے ہیں

اسے ضعف بصیرت اسے ضعف بصارت ہے

ہمارے دیدہ ور سارے کے سارے ایک جیسے ہیں

مٹن اور دال کی قیمت برابر ہو گئی جب سے

یقیں آیا کہ دونوں میں ''حرارے'' ایک جیسے ہیں

جہاں بھر کے سیاسی دنگلوں میں ہم نے دیکھا ہے

''انوکی'' اک سے اک اونچا ہے جھارے ایک جیسے ہیں

وہ تھانہ ہو شفا خانہ ہو یا پھر ڈاک خانہ ہو

رفاہ عام کے سارے ادارے ایک جیسے ہیں

سرور جاں فزا دیتی ہے آغوش وطن سب کو

کہ جیسے بھی ہوں بچے ماں کو پیارے ایک جیسے ہیں

بلا کا فرق ہے لندن کی گوری اور کالی میں

مگر دونوں کی آنکھوں میں اشارے ایک جیسے ہیں

ہر اک بیگم اگرچہ منفرد ہے اپنی سج دھج میں

مگر جتنے بھی شوہر ہیں بچارے ایک جیسے ہیں

کوئی خوش ذوق ہی شاہدؔ یہ نکتہ جان سکتا ہے

کہ میرے شعر اور نخرے تمہارے ایک جیسے ہیں

گماں ہوتا ہے شاہدؔ ریڈیو پر سن کے موسیقی

کہ پکے راگ اور نمکیں غرارے ایک جیسے ہیں

سرفراز شاہد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Munafa Mushtarak Hai Aur KHasare Ek Jaise Hain

Sarfaraz Shahid

munafa mushtarak hai aur KHasare ek jaise hain
ki hum donon ki qismat ke sitare ek jaise hain

main ek chhoTa sa afsar hun wo ek moTa sa mil-owner
magar donon ke income goshware ek jaise hain

ise zoaf-e-basirat use zoaf-e-basarat hai
hamare dida-war sare ke sare ek jaise hain

mutton aur dal ki qimat barabar ho gai jab se
yaqin aaya ki donon mein harare ek jaise hain

jahan bhar ke siyasi danglon mein hum ne dekha hai
anuki ek se ek uncha hai jhaare ek jaise hain

wo thana ho shifa-KHana ho ya phir Dak-KHana ho
rifah-e-am ke sare idare ek jaise hain

surur-e-jaan-faza deti hai aaghosh-e-watan sab ko
ki jaise bhi hon bachche man ko pyare ek jaise hain

bala ka farq hai london ki gori aur kali mein
magar donon ki aankhon mein ishaare ek jaise hain

har ek begam agarche munfarid hai apni saj-dhaj mein
magar jitne bhi shauhar hain bichaare ek jaise hain

koi KHush-zauq hi 'shahid' ye nukta jaan sakta hai
ki mere sher aur naKHre tumhaare ek jaise hain

guman hota hai 'shahid' radio par sun ke mausiqi
ki pakke rag aur namkin gharare ek jaise hain

(807) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Munafa Mushtarak Hai Aur KHasare Ek Jaise Hain written by Sarfaraz Shahid at UrduPoint. Munafa Mushtarak Hai Aur KHasare Ek Jaise Hain is one of the masterpieces written by Sarfaraz Shahid. You can also find the complete poetry collection of Sarfaraz Shahid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sarfaraz Shahid' above.

Munafa Mushtarak Hai Aur KHasare Ek Jaise Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Munafa Mushtarak Hai Aur KHasare Ek Jaise Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.