Aaina Ahd-e-guzashta Ka Bacha Rah Gaya Hai, Urdu Ghazal By Sayed Mujeebul Hasan

Aaina Ahd-e-guzashta Ka Bacha Rah Gaya Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sayed Mujeebul Hasan. Aaina Ahd-e-guzashta Ka Bacha Rah Gaya Hai comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aaina Ahd-e-guzashta Ka Bacha Rah Gaya Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آئنہ عہد گذشتہ کا بچا رہ گیا ہے

سید محمد مجیب الحسن

آئنہ عہد گذشتہ کا بچا رہ گیا ہے

طاق نسیاں پہ ابھی ایک دیا رہ گیا ہے

کھڑکیاں سو گئیں خاموش ہوئے سارے چراغ

اک دریچہ مگر اس گھر کا کھلا رہ گیا ہے

اے ہوا اب تو نہ کر آگ اگلنے کا عمل

شاخ پر بس یہی اک پتا ہرا رہ گیا ہے

کہیں ٹھوکر سے کوئی زخم نہ آ جائے تجھے

دل ہمارا ترے قدموں میں پڑا رہ گیا ہے

اب ہے دریا میں کوئی شور نہ ہلچل کوئی

ہو کے خاموش مرا سنگ نوا رہ گیا ہے

کس لیے آئی ہے تو اجڑے ہوئے گلشن میں

اب بھی کچھ کہنے کو کیا باد صبا رہ گیا ہے

ذکر آ جاتا ہے رسماً سر محفل اکثر

اب ترا نام فقط خوف خدا رہ گیا ہے

ایسا لگتا ہے کہ کچھ موڑ ہیں باقی غم کے

اٹھتے اٹھتے جو مرا دست دعا رہ گیا ہے

اے ہوا راستہ دے اس کو نکلنے کے لیے

بجھ گئی آگ دھواں گھر میں بھرا رہ گیا ہے

کس لیے ضد کیے ہے چھوڑ کے جانے کی مجھے

خامشی تیرے سوا پاس میں کیا رہ گیا ہے

اس کے چہرے پہ چمک ہے نہ کوئی رنگ مجیبؔ

ہاں ہتھیلی پہ مگر رنگ حنا رہ گیا ہے

سید محمد مجیب الحسن

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aaina Ahd-e-guzashta Ka Bacha Rah Gaya Hai

Sayed Mujeebul Hasan

aaina ahd-e-guzashta ka bacha rah gaya hai
taq-e-nisyan pe abhi ek diya rah gaya hai

khiDkiyan so gain KHamosh hue sare charagh
ek daricha magar is ghar ka khula rah gaya hai

ai hawa ab to na kar aag ugalne ka amal
shaKH par bas yahi ek patta hara rah gaya hai

kahin Thokar se koi zaKHm na aa jae tujhe
dil hamara tere qadmon mein paDa rah gaya hai

ab hai dariya mein koi shor na halchal koi
ho ke KHamosh mera sang-e-nawa rah gaya hai

kis liye aai hai tu ujDe hue gulshan mein
ab bhi kuchh kahne ko kya baad-e-saba rah gaya hai

zikr aa jata hai rasman sar-e-mahfil aksar
ab tera nam faqat KHauf-e-KHuda rah gaya hai

aisa lagta hai ki kuchh moD hain baqi gham ke
uThte uThte jo mera dast-e-dua rah gaya hai

ai hawa rasta de us ko nikalne ke liye
bujh gai aag dhuan ghar mein bhara rah gaya hai

kis liye zid kiye hai chhoD ke jaane ki mujhe
KHamushi tere siwa pas mein kya rah gaya hai

us ke chehre pe chamak hai na koi rang 'mujib'
han hatheli pe magar rang-e-hina rah gaya hai

(563) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aaina Ahd-e-guzashta Ka Bacha Rah Gaya Hai written by Sayed Mujeebul Hasan at UrduPoint. Aaina Ahd-e-guzashta Ka Bacha Rah Gaya Hai is one of the masterpieces written by Sayed Mujeebul Hasan. You can also find the complete poetry collection of Sayed Mujeebul Hasan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sayed Mujeebul Hasan' above.

Aaina Ahd-e-guzashta Ka Bacha Rah Gaya Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aaina Ahd-e-guzashta Ka Bacha Rah Gaya Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.