Dam-e-tamir TaKHrib-e-jahan Kuchh Aur Kahti Hai, Urdu Ghazal By Shaer Fatahpuri

Dam-e-tamir TaKHrib-e-jahan Kuchh Aur Kahti Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaer Fatahpuri. Dam-e-tamir TaKHrib-e-jahan Kuchh Aur Kahti Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dam-e-tamir TaKHrib-e-jahan Kuchh Aur Kahti Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دم تعمیر تخریب جہاں کچھ اور کہتی ہے

شاعر فتح پوری

دم تعمیر تخریب جہاں کچھ اور کہتی ہے

کلی کچھ اور کہتی ہے خزاں کچھ اور کہتی ہے

کدہ کی یاد سب کچھ ہے مگر اے زاہد ناداں

دلوں سے مستئ چشم بتاں کچھ اور کہتی ہے

کبھی شاید وہ دور آئے جب انساں ہو سکے انساں

ابھی تو گردش ہفت آسماں کچھ اور کہتی ہے

بنا کر آشیانے فصل گل میں شاد ہیں لیکن

چمن والوں سے برق بے اماں کچھ اور کہتی ہے

بہت مشکل ہے منزل تک جو اہل کارواں پہنچیں

کہ ہم سے گرد راہ کارواں کچھ اور کہتی ہے

یہ غفلت اے حیات چند روزہ کے پرستارو

اٹھو تم سے حیات‌‌ جاوداں کچھ اور کہتی ہے

اثر نغموں میں بھی ہے نالہ ہائے غم میں بھی شاعرؔ

مگر ٹوٹے ہوئے دل کی فغاں کچھ اور کہتی ہے

شاعر فتح پوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dam-e-tamir TaKHrib-e-jahan Kuchh Aur Kahti Hai

Shaer Fatahpuri

dam-e-tamir taKHrib-e-jahan kuchh aur kahti hai
kali kuchh aur kahti hai KHizan kuchh aur kahti hai

kada ki yaad sab kuchh hai magar ai zahid-e-nadan
dilon se masti-e-chashm-e-butan kuchh aur kahti hai

kabhi shayad wo daur aae jab insan ho sake insan
abhi to gardish-e-haft-asman kuchh aur kahti hai

bana kar aashiyane fasl-e-gul mein shad hain lekin
chaman walon se barq-e-be-aman kuchh aur kahti hai

bahut mushkil hai manzil tak jo ahl-e-karwan pahunchen
ki hum se gard-e-rah-e-karwan kuchh aur kahti hai

ye ghaflat ai hayat-e-chand-roza ke parastaro
uTho tum se hayat-e-jawedan kuchh aur kahti hai

asar naghmon mein bhi hai nala-ha-e-gham mein bhi 'shair'
magar TuTe hue dil ki fughan kuchh aur kahti hai

(387) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dam-e-tamir TaKHrib-e-jahan Kuchh Aur Kahti Hai written by Shaer Fatahpuri at UrduPoint. Dam-e-tamir TaKHrib-e-jahan Kuchh Aur Kahti Hai is one of the masterpieces written by Shaer Fatahpuri. You can also find the complete poetry collection of Shaer Fatahpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaer Fatahpuri' above.

Dam-e-tamir TaKHrib-e-jahan Kuchh Aur Kahti Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dam-e-tamir TaKHrib-e-jahan Kuchh Aur Kahti Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.