Isi KHayal Se Dil Mein Mere Ujala Hai, Urdu Ghazal By Shafeeq Abbas

Isi KHayal Se Dil Mein Mere Ujala Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shafeeq Abbas. Isi KHayal Se Dil Mein Mere Ujala Hai comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Isi KHayal Se Dil Mein Mere Ujala Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اسی خیال سے دل میں مرے اجالا ہے

شفیق عباس

اسی خیال سے دل میں مرے اجالا ہے

دماغ وقت کی دھڑکن کو سننے والا ہے

تڑپ طلب ہے مری تشنہ لب سمندر ہوں

حباب کہتے ہیں جس کو زباں پہ چھالا ہے

تمام خواب خیالات بن کے ٹوٹے ہیں

یہ دور دیکھیے اب کیا دکھانے والا ہے

میں اپنے حال سے گھبرا کے مر گیا ہوتا

مجھے تو واقعی بیتے دنوں نے پالا ہے

پلٹ کے شام کو واپس پہنچ بھی پاؤں گا

اس ایک سوچ نے گھر سے قدم نکالا ہے

میں گرد بن کے اڑا تھا تلاش میں اپنی

ترے خیال نے لیکن مجھے سنبھالا ہے

شفیقؔ کیسے کوئی کیفیت بیاں ہوگی

ہر ایک لفظ مری سوچ کا نوالا ہے

شفیق عباس

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Isi KHayal Se Dil Mein Mere Ujala Hai

Shafeeq Abbas

isi KHayal se dil mein mere ujala hai
dimagh waqt ki dhaDkan ko sunne wala hai

taDap talab hai meri tishna-lab samundar hun
habab kahte hain jis ko zaban pe chhaala hai

tamam KHwab KHayalat ban ke TuTe hain
ye daur dekhiye ab kya dikhane wala hai

main apne haal se ghabra ke mar gaya hota
mujhe to waqai bite dinon ne pala hai

palaT ke sham ko wapas pahunch bhi paunga
is ek soch ne ghar se qadam nikala hai

main gard ban ke uDa tha talash mein apni
tere KHayal ne lekin mujhe sambhaala hai

'shafiq' kaise koi kaifiyat bayan hogi
har ek lafz meri soch ka niwala hai

(412) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Isi KHayal Se Dil Mein Mere Ujala Hai written by Shafeeq Abbas at UrduPoint. Isi KHayal Se Dil Mein Mere Ujala Hai is one of the masterpieces written by Shafeeq Abbas. You can also find the complete poetry collection of Shafeeq Abbas by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shafeeq Abbas' above.

Isi KHayal Se Dil Mein Mere Ujala Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Isi KHayal Se Dil Mein Mere Ujala Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.