Na To Justuju-e-dawa-e-dil Na To Chaaragar Ki Talash Hai, Urdu Ghazal By Shafeeq Barelvi

Na To Justuju-e-dawa-e-dil Na To Chaaragar Ki Talash Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shafeeq Barelvi. Na To Justuju-e-dawa-e-dil Na To Chaaragar Ki Talash Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na To Justuju-e-dawa-e-dil Na To Chaaragar Ki Talash Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ تو جستجوئے دوائے دل نہ تو چارہ گر کی تلاش ہے

شفیق بریلوی

نہ تو جستجوئے دوائے دل نہ تو چارہ گر کی تلاش ہے

جو مذاق غم سے ہو آشنا مجھے اس نظر کی تلاش ہے

میں ہوں راہرو میں ہوں کارواں میں ہوں راہبر میں ہوں راہزن

مرے پیچ و خم جو سمجھ سکے مجھے اس خضر کی تلاش ہے

میں عیاں بھی ہوں میں نہاں بھی ہوں میں کہاں نہیں میں کہیں نہیں

جو بتائے مجھ کو مرا پتا مجھے اس خبر کی تلاش ہے

ہے خرد سے بھی مجھے واسطہ ہیں جنوں سے بھی مجھے نسبتیں

جو امام مستی و ہوش ہو اسی دیدہ ور کی تلاش ہے

میں اسیر ذوق خرام ہوں کبھی صبح ہوں کبھی شام ہوں

جہاں منزلوں کا گزر نہ ہو اسی رہ گزر کی تلاش ہے

ہیں زمیں پہ میرے قدم مگر مری آسمانوں پہ ہے نظر

میں ہوں طائر فلک آشیاں مجھے بال و پر کی تلاش ہے

ملی دیر و کعبہ کی سر زمیں یہ جبیں کہیں بھی جھکی نہیں

میں شفیقؔ تجھ کو بتاؤں کیا مجھے کس کے در کی تلاش ہے

شفیق بریلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na To Justuju-e-dawa-e-dil Na To Chaaragar Ki Talash Hai

Shafeeq Barelvi

na to justuju-e-dawa-e-dil na to chaaragar ki talash hai
jo mazaq-e-gham se ho aashna mujhe us nazar ki talash hai

main hun rah-rau main hun karwan main hun rahbar main hun rahzan
mere pech-o-KHam jo samajh sake mujhe us KHizar ki talash hai

main ayan bhi hun main nihan bhi hun main kahan nahin main kahin nahin
jo batae mujh ko mera pata mujhe us KHabar ki talash hai

hai KHirad se bhi mujhe wasta hain junun se bhi mujhe nisbaten
jo imam-e-masti-o-hosh ho usi dida-war ki talash hai

main asir-e-zauq-e-KHiram hun kabhi subh hun kabhi sham hun
jahan manzilon ka guzar na ho usi rahguzar ki talash hai

hain zamin pe mere qadam magar meri aasman pe hai nazar
main hun tair-e-falak-ashiyan mujhe baal-o-par ki talash hai

mili dair-o-kaba ki sar-zamin ye jabin kahin bhi jhuki nahin
main 'shafiq' tujh ko bataun kya mujhe kis ke dar ki talash hai

(629) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na To Justuju-e-dawa-e-dil Na To Chaaragar Ki Talash Hai written by Shafeeq Barelvi at UrduPoint. Na To Justuju-e-dawa-e-dil Na To Chaaragar Ki Talash Hai is one of the masterpieces written by Shafeeq Barelvi. You can also find the complete poetry collection of Shafeeq Barelvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shafeeq Barelvi' above.

Na To Justuju-e-dawa-e-dil Na To Chaaragar Ki Talash Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na To Justuju-e-dawa-e-dil Na To Chaaragar Ki Talash Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.