Jo Guzre Hai Bar Aashiq-e-kaamil Nahin Malum, Urdu Ghazal By Shah Naseer

Jo Guzre Hai Bar Aashiq-e-kaamil Nahin Malum is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shah Naseer. Jo Guzre Hai Bar Aashiq-e-kaamil Nahin Malum comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jo Guzre Hai Bar Aashiq-e-kaamil Nahin Malum on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جو گزرے ہے بر عاشق کامل نہیں معلوم

شاہ نصیر

جو گزرے ہے بر عاشق کامل نہیں معلوم

جبریل ہے ہر آن میں نازل نہیں معلوم

کیا پردۂ غفلت ہے کچھ اے دل نہیں معلوم

رہتا ہے شب و روز وہ نازل نہیں معلوم

ہر دم یہی رہتا ہے یہاں دل میں پس و پیش

جینے کا بجز مرگ کچھ حاصل نہیں معلوم

رخ دیکھ کے حیراں ہوں ترا جوں گل خورشید

چھٹ تیرے مجھے کوئی مقابل نہیں معلوم

بخشش یہ جو رکھتا ہے بکف بحر ہے کشتی

کیا جانیے یہ کس سے ہے سائل نہیں معلوم

بے تھاہ ہو کیا بحر حقیقت کا شناور

جس کا کہیں آخر لب ساحل نہیں معلوم

کیوں رہتے ہیں نت ریوڑی کے پھیرے میں عاشق

اس کے لب شیریں پہ کہیں تل نہیں معلوم

جراح یہ کہتا ہے مجھے دیکھ کے بے دم

کس تیغ نگہ کا ہے یہ گھائل نہیں معلوم

جوں آئینہ حیرت زدہ یاں دیکھوں ہوں سب کو

کیا جانیے کس پر ہوں میں مائل نہیں معلوم

چل چل کے رہ عشق میں جوں نقش قدم ہم

تھک بیٹھے نصیرؔ اب ہمیں منزل نہیں معلوم

شاہ نصیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jo Guzre Hai Bar Aashiq-e-kaamil Nahin Malum

Shah Naseer

jo guzre hai bar aashiq-e-kaamil nahin malum
jibril hai har aan mein nazil nahin malum

kya parda-e-ghaflat hai kuchh ai dil nahin malum
rahta hai shab-o-roz wo nazil nahin malum

har dam yahi rahta hai yahan dil mein pas-o-pesh
jine ka ba-juz-marg kuchh hasil nahin malum

ruKH dekh ke hairan hun tera jun gul-e-KHurshid
chhuT tere mujhe koi muqabil nahin malum

baKHshish ye jo rakhta hai ba-kaf bahr hai kashti
kya jaaniye ye kis se hai sail nahin malum

be-thah ho kya bahr-e-haqiqat ka shanawar
jis ka kahin aaKHir lab-e-sahil nahin malum

kyun rahte hain nit rewDi ke phere mein aashiq
us ke lab-e-shirin pe kahin til nahin malum

jarrah ye kahta hai mujhe dekh ke be-dam
kis tegh-e-nigah ka hai ye ghael nahin malum

jun aaina hairat-zada yan dekhun hun sab ko
kya jaaniye kis par hun main mail nahin malum

chal chal ke rah-e-ishq mein jun naqsh-e-qadam hum
thak baiThe 'nasir' ab hamein manzil nahin malum

(337) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jo Guzre Hai Bar Aashiq-e-kaamil Nahin Malum written by Shah Naseer at UrduPoint. Jo Guzre Hai Bar Aashiq-e-kaamil Nahin Malum is one of the masterpieces written by Shah Naseer. You can also find the complete poetry collection of Shah Naseer by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shah Naseer' above.

Jo Guzre Hai Bar Aashiq-e-kaamil Nahin Malum is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jo Guzre Hai Bar Aashiq-e-kaamil Nahin Malum, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.