Pamal-e-rah-e-ishq Hain KHilqat Ki Kha Thokar Bhi Hum, Urdu Ghazal By Shah Naseer

Pamal-e-rah-e-ishq Hain KHilqat Ki Kha Thokar Bhi Hum is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shah Naseer. Pamal-e-rah-e-ishq Hain KHilqat Ki Kha Thokar Bhi Hum comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Pamal-e-rah-e-ishq Hain KHilqat Ki Kha Thokar Bhi Hum on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پامال راہ عشق ہیں خلقت کی کھا ٹھوکر بھی ہم

شاہ نصیر

پامال راہ عشق ہیں خلقت کی کھا ٹھوکر بھی ہم

جوں شیشہ نازک تر تھے کیا سختی میں ہیں پتھر بھی ہم

آئینہ دل کا صاف کر کہلائے صیقل گر بھی ہم

اپنے سوا دیکھیں کسے اندر بھی ہم باہر بھی ہم

جاں بر ہو ان سے کیونکہ دل کہتی ہیں پلکیں یار کی

نیزہ بھی ہم ناوک بھی ہم برچھی بھی ہم خنجر بھی ہم

اشکوں کی دولت کیوں نہ ہو سلطان اقلیم جنوں

رکھتے ہیں ساتھ اپنے سدا لڑکوں کا اک لشکر بھی ہم

چنوا کے ابرو مجھ سے کیا وہ ہنس کے فرمانے لگے

اس تیغ کے دم لے سدا دکھلائیں گے جوہر بھی ہم

کیا خاک کیجے مے کشی اے ساقیٔ گلفام آ

گریاں ہیں مثل ابر کیا جوں برق ہیں مضطر بھی ہم

کہتے ہیں وہ پاں خوردہ لب یاقوت کے ٹکڑے تو تھے

کہلائے لیکن آج سے برگ گل احمر بھی ہم

اے شوخ دانتوں کا ترے یاں یہ تصور ہے بندھا

دن رات چشم تر سے یاں برساتے ہیں گوہر بھی ہم

رکھتے تو ہیں گرداب یم پر ڈر ہے یہ اے چشم تر

گرداب دریا کی طرح کھاتے ہیں یاں چکر بھی ہم

جو چاہے کر جور و جفا پر دل کا مہر داغ سے

روز قیامت کوسنا دکھلائیں گے محضر بھی ہم

قد سے نصیرؔ اس کے سدا اک شور محشر ہے بپا

چھوٹے عذاب قبر سے کیا خاک یاں مر کر بھی ہم

شاہ نصیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Pamal-e-rah-e-ishq Hain KHilqat Ki Kha Thokar Bhi Hum

Shah Naseer

pamal-e-rah-e-ishq hain KHilqat ki kha Thokar bhi hum
jun shisha nazuk-tar the kya saKHti mein hain patthar bhi hum

aaina dil ka saf kar kahlae saiqal-gar bhi hum
apne siwa dekhen kise andar bhi hum bahar bhi hum

jaan-bar ho un se kyunki dil kahti hain palken yar ki
neza bhi hum nawak bhi hum barchhi bhi hum KHanjar bhi hum

ashkon ki daulat kyun na ho sultan-e-aqlim-e-junun
rakhte hain sath apne sada laDkon ka ek lashkar bhi hum

chunwa ke abru mujh se kya wo hans ke farmane lage
is tegh ke dam le sada dikhlaenge jauhar bhi hum

kya KHak kije mai-kashi ai saqi-e-gulfam aa
giryan hain misl-e-abr kya jun barq hain muztar bhi hum

kahte hain wo pan-KHurda-lab yaqut ke TukDe to the
kahlae lekin aaj se barg-e-gul-e-ahmar bhi hum

ai shoKH danton ka tere yan ye tasawwur hai bandha
din raat chashm-e-tar se yan barsate hain gauhar bhi hum

rakhte to hain girdab-e-yam par Dar hai ye ai chashm-e-tar
girdab-e-dariya ki tarah khate hain yan chakkar bhi hum

jo chahe kar jaur-o-jafa par dil ka mohr-e-dagh se
roz-e-qayamat kosna dikhlaenge mahzar bhi hum

qad se 'nasir' us ke sada ek shor-e-mahshar hai bapa
chhuTe azab-e-qabr se kya KHak yan mar kar bhi hum

(437) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Pamal-e-rah-e-ishq Hain KHilqat Ki Kha Thokar Bhi Hum written by Shah Naseer at UrduPoint. Pamal-e-rah-e-ishq Hain KHilqat Ki Kha Thokar Bhi Hum is one of the masterpieces written by Shah Naseer. You can also find the complete poetry collection of Shah Naseer by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shah Naseer' above.

Pamal-e-rah-e-ishq Hain KHilqat Ki Kha Thokar Bhi Hum is a widely read Urdu Ghazal. If you like Pamal-e-rah-e-ishq Hain KHilqat Ki Kha Thokar Bhi Hum, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.