Huzur Pahle Nazare Banae Jate Hain, Urdu Ghazal By Shahbaz Rizvi

Huzur Pahle Nazare Banae Jate Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shahbaz Rizvi. Huzur Pahle Nazare Banae Jate Hain comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Huzur Pahle Nazare Banae Jate Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حضور پہلے نظارے بنائے جاتے ہیں

شہباز رضوی

حضور پہلے نظارے بنائے جاتے ہیں

پھر اس کے بعد نظریے بنائے جاتے ہیں

ہمیں خبر ہے کہ لہریں اجاڑ دیں گی انہیں

ہم اپنی ضد میں گھروندے بنائے جاتے ہیں

یہی سبب ہے کہ میں تیرگی کا قائل ہوں

میں جانتا ہوں اجالے بنائے جاتے ہیں

بنا رہا ہے جو کشتی اسے نہیں معلوم

سفر سے پہلے ارادے بنائے جاتے ہیں

میں سوچتے ہوئے پہنچا ہوں اس جگہ کہ جہاں

تصورات کے سانچے بنائے جاتے ہیں

درخت چھاؤں مسافر سفر تھکن منزل

طرح طرح کے معمے بنائے جاتے ہیں

شہباز رضوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Huzur Pahle Nazare Banae Jate Hain

Shahbaz Rizvi

huzur pahle nazare banae jate hain
phir us ke ba'd nazariye banae jate hain

hamein KHabar hai ki lahren ujaD dengi inhen
hum apni zid mein gharaunde banae jate hain

yahi sabab hai ki main tirgi ka qail hun
main jaanta hun ujale banae jate hain

bana raha hai jo kashti use nahin malum
safar se pahle irade banae jate hain

main sochte hue pahuncha hun us jagah ki jahan
tasawwuraat ke sanche banae jate hain

daraKHt chhanw musafir safar thakan manzil
tarah tarah ke muamme banae jate hain

(419) ووٹ وصول ہوئے

You can read Huzur Pahle Nazare Banae Jate Hain written by Shahbaz Rizvi at UrduPoint. Huzur Pahle Nazare Banae Jate Hain is one of the masterpieces written by Shahbaz Rizvi. You can also find the complete poetry collection of Shahbaz Rizvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shahbaz Rizvi' above.

Huzur Pahle Nazare Banae Jate Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Huzur Pahle Nazare Banae Jate Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.