Hijrat Ki Nazm, Urdu Nazam By Shaheen Mufti

Hijrat Ki Nazm is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Shaheen Mufti. Hijrat Ki Nazm comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Hijrat Ki Nazm on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہجرت کی نظم

شاہین مفتی

پلک کے جھپکتے کئی سال بیتے

میں واپس جو لوٹی تو میں نے یہ دیکھا

مرے گھر کی ہر چھت ٹپکنے لگی تھی

در و بام کا رنگ مدھم پڑا تھا

وہ آنگن کہ جس میں مہکتی تھی چمپا

اس آنگن کا ہر پھول مرجھا گیا تھا

فقط ایک برگد کہ تنہا کھڑا تھا

وہ تنہا تھا اور جانے کیا سوچتا تھا

خزاؤں نے ہر سو بسیرا کیا تھا

یہی وہ جگہ تھی جہاں میرا بچپن

کئی مہرباں نرم ہاتھوں میں گزرا

یہیں پر مری تند خو دھڑکنوں نے

نئے موسموں کی بشارت سنی تھی

مری ساری صبحیں مری ساری شامیں

اس آنگن کی اڑتی ہوئی تتلیاں تھیں

مگر ایک دن ایسی ساعت بھی آئی

مرا گھر فقط چار لفظوں کی اندھی عقیدت کے آگے

آپ ہی آپ چپ چاپ ہو کر

سبھی رابطوں سے سبھی واسطوں سے الگ ہو گیا تھا

بیاض نظر کے وہ موہوم نقطے

بھی پھیل کے دائرے بن چکے ہیں

نئی زندگی میں

پرانے دنوں کی

حقیقت فقط کانچ کی ٹوٹتی چوڑیاں رہ گئی ہے

کہ جن کو تشخص کی حاجت نہیں ہے

شاہین مفتی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hijrat Ki Nazm

Shaheen Mufti

palak ke jhapakte kai sal bite
main wapas jo lauTi to main ne ye dekha
mere ghar ki har chhat Tapakne lagi thi
dar-o-baam ka rang maddham paDa tha
wo aangan ki jis mein mahakti thi champa
us aangan ka har phul murjha gaya tha
faqat ek bargad ki tanha khaDa tha
wo tanha tha aur jaane kya sochta tha
KHizaon ne har-su basera kiya tha
yahi wo jagah thi jahan mera bachpan
kai mehrban narm hathon mein guzra
yahin par meri tund-KHu dhaDkanon ne
nae mausamon ki bashaarat suni thi
meri sari subhen meri sari shamen
is aangan ki uDti hui titliyan thin
magar ek din aisi saat bhi aai
mera ghar faqat chaar lafzon ki andhi aqidat ke aage
aap hi aap chup-chap ho kar
sabhi rabton se sabhi waston se alag ho gaya tha
bayaz-e-nazar ke wo mauhum nuqte
bhi phail ke daere ban chuke hain
nai zindagi mein
purane dinon ki
haqiqat faqat kanch ki TuTti chuDiyan rah gai hai
ki jin ko tashaKHKHus ki hajat nahin hai

(409) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hijrat Ki Nazm written by Shaheen Mufti at UrduPoint. Hijrat Ki Nazm is one of the masterpieces written by Shaheen Mufti. You can also find the complete poetry collection of Shaheen Mufti by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaheen Mufti' above.

Hijrat Ki Nazm is a widely read Urdu Nazam. If you like Hijrat Ki Nazm, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.